na chhed zaahid-e-naadaan sharaab peene de
sharaab peene de khaana-kharaab peene de
abhi se apni naseehat ka zahar de na mujhe
abhi to peene de aur be-hisaab peene de
main jaanta hoon chhalakta hua gunaah hai ye
tu is gunaah ko be-ehtisaab peene de
phir aisa waqt kahaan ham kahaan sharaab kahaan
tilism-e-dahr hai naqsh-e-bar-aab peene de
mere dimaagh ki duniya ka aftaab hai ye
mila ke barf mein ye aftaab peene de
kisi haseena ke boson ke qaabil ab na rahe
to in labon se hamesha sharaab peene de
samajh ke us ko ghafoor-ur-raheem peeta hoon
na chhed zikr-e-azaab-o-sawaab peene de
jo rooh ho chuki ik baar daagh-daar meri
to aur hone de lekin sharaab peene de
sharaab-khaane mein ye shor kyun machaaya hai
khamosh akhtar-e-khaana-kharaab peene de
न छेड़ ज़ाहिद-ए-नादाँ शराब पीने दे
शराब पीने दे ख़ाना-ख़राब पीने दे
अभी से अपनी नसीहत का ज़हर दे न मुझे
अभी तो पीने दे और बे-हिसाब पीने दे
मैं जानता हूँ छलकता हुआ गुनाह है ये
तू इस गुनाह को बे-एहतिसाब पीने दे
फिर ऐसा वक़्त कहाँ हम कहाँ शराब कहाँ
तिलिस्म-ए-दहर है नक़्श-ए-बर-आब पीने दे
मिरे दिमाग़ की दुनिया का आफ़्ताब है ये
मिला के बर्फ़ में ये आफ़्ताब पीने दे
किसी हसीना के बोसों के क़ाबिल अब न रहे
तो इन लबों से हमेशा शराब पीने दे
समझ के उस को ग़फ़ूर-उर-रहीम पीता हूँ
न छेड़ ज़िक्र-ए-अज़ाब-ओ-सवाब पीने दे
जो रूह हो चुकी इक बार दाग़-दार मिरी
तो और होने दे लेकिन शराब पीने दे
शराब-ख़ाने में ये शोर क्यूँ मचाया है
ख़मोश 'अख़्तर'-ए-ख़ाना-ख़राब पीने दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shirani
our suggestion based on Akhtar Shirani
As you were reading Lab Shayari Shayari