yaad aao mujhe lillaah na tum yaad karo
apni aur meri jawaani ko na barbaad karo
sharm rone bhi na de bekli sone bhi na de
is tarah to meri raaton ko na barbaad karo
had hai peene ki ki khud peer-e-mugaan kehta hai
is buri tarah jawaani ko na barbaad karo
yaad aate ho bahut dil se bhulaane waalo
tum hamein yaad karo tum hamein kyun yaad karo
aasmaan rutba mahal apne banaane waalo
dil ka ujda hua ghar bhi koi aabaad karo
ham kabhi aayein tire ghar magar aayenge zaroor
tum ne ye wa'da kiya tha ki nahin yaad karo
chaandni raat mein gul-gasht ko jab jaate the
aah azraa kabhi us waqt ko bhi yaad karo
main bhi shaista-e-altaaf-e-sitam hoon shaayad
mere hote hue kyun gair pe bedaad karo
sadqe us shokh ke akhtar ye likha hai jis ne
ishq mein apni jawaani ko na barbaad karo
याद आओ मुझे लिल्लाह न तुम याद करो
अपनी और मेरी जवानी को न बर्बाद करो
शर्म रोने भी न दे बेकली सोने भी न दे
इस तरह तो मिरी रातों को न बर्बाद करो
हद है पीने की कि ख़ुद पीर-ए-मुग़ाँ कहता है
इस बुरी तरह जवानी को न बर्बाद करो
याद आते हो बहुत दिल से भुलाने वालो
तुम हमें याद करो तुम हमें क्यूँ याद करो
आसमाँ रुत्बा महल अपने बनाने वालो
दिल का उजड़ा हुआ घर भी कोई आबाद करो
हम कभी आएँ तिरे घर मगर आएँगे ज़रूर
तुम ने ये वा'दा किया था कि नहीं याद करो
चाँदनी रात में गुल-गश्त को जब जाते थे
आह अज़रा कभी उस वक़्त को भी याद करो
मैं भी शाइस्ता-ए-अल्ताफ़-ए-सितम हूँ शायद
मेरे होते हुए क्यूँ ग़ैर पे बेदाद करो
सदक़े उस शोख़ के 'अख़्तर' ये लिखा है जिस ने
इश्क़ में अपनी जवानी को न बर्बाद करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shirani
our suggestion based on Akhtar Shirani
As you were reading Ghar Shayari Shayari