tamannaon ko zinda aarzooon ko jawaan kar luun | तमन्नाओं को ज़िंदा आरज़ूओं को जवाँ कर लूँ

  - Akhtar Shirani

tamannaon ko zinda aarzooon ko jawaan kar luun
ye sharmeeli nazar kah de to kuchh gustaakhiyaan kar luun

bahaar aayi hai bulbul dard-e-dil kahti hai phoolon se
kaho to main bhi apna dard-e-dil tum se bayaan kar luun

hazaaron shokh armaan le rahe hain chutkiyaan dil mein
haya un ki ijaazat de to kuchh bebaakiyaan kar luun

koi soorat to ho duniya-e-faani mein bahlne ki
thehar ja ai jawaani maatam-e-umr-e-ravaan kar luun

chaman mein hain bahm parwaana o sham'a o gul o bulbul
ijaazat ho to main bhi haal-e-dil apna bayaan kar luun

kise maaloom kab kis waqt kis par gir pade bijli
abhi se main chaman mein chal kar aabaad aashiyaan kar luun

bar aayein hasratein kya kya agar maut itni furqat de
ki ik baar aur zinda sheva-e-ishq-e-javaan kar luun

mujhe dono jahaan mein ek vo mil jaayen gar akhtar
to apni hasraton ko be-niyaaz-e-do-jahaan kar luun

तमन्नाओं को ज़िंदा आरज़ूओं को जवाँ कर लूँ
ये शर्मीली नज़र कह दे तो कुछ गुस्ताख़ियाँ कर लूँ

बहार आई है बुलबुल दर्द-ए-दिल कहती है फूलों से
कहो तो मैं भी अपना दर्द-ए-दिल तुम से बयाँ कर लूँ

हज़ारों शोख़ अरमाँ ले रहे हैं चुटकियाँ दिल में
हया उन की इजाज़त दे तो कुछ बेबाकियाँ कर लूँ

कोई सूरत तो हो दुनिया-ए-फ़ानी में बहलने की
ठहर जा ऐ जवानी मातम-ए-उम्र-ए-रवाँ कर लूँ

चमन में हैं बहम परवाना ओ शम्अ ओ गुल ओ बुलबुल
इजाज़त हो तो मैं भी हाल-ए-दिल अपना बयाँ कर लूँ

किसे मालूम कब किस वक़्त किस पर गिर पड़े बिजली
अभी से मैं चमन में चल कर आबाद आशियाँ कर लूँ

बर आएँ हसरतें क्या क्या अगर मौत इतनी फ़ुर्सत दे
कि इक बार और ज़िंदा शेवा-ए-इश्क़-ए-जवाँ कर लूँ

मुझे दोनों जहाँ में एक वो मिल जाएँ गर 'अख़्तर'
तो अपनी हसरतों को बे-नियाज़-ए-दो-जहाँ कर लूँ

  - Akhtar Shirani

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari