agar vo apne haseen chehre ko bhool kar be-naqaab kar de | अगर वो अपने हसीन चेहरे को भूल कर बे-नक़ाब कर दे

  - Akhtar Shirani

agar vo apne haseen chehre ko bhool kar be-naqaab kar de
to zarre ko mahtaab aur mahtaab ko aftaab kar de

tiri mohabbat ki vaadiyon mein meri jawaani se door kya hai
jo saada paani ko ik nasheeli nazar mein rangeen sharaab kar de

hareem-e-ishrat mein sone waale shameem-e-gesoo ki mastiyon se
meri jawaani ki saada raaton ko ab to sarshaar khwaab kar de

maze vo paaye hain aarzoo mein ki dil ki ye aarzoo hai yaarab
tamaam duniya ki aarzooen mere liye intikhaab kar de

nazar na aane pe hai ye haalat ki jang hai shaikh-o-barhaman mein
khabar nahin kya se kya ho duniya jo khud ko vo be-naqaab kar de

mere gunaahon ki shorishein is liye ziyaada rahi hain yaarab
ki in ki gustakhion se tu apne afw ko be-hisaab kar de

khuda na laaye vo din ki teri sunhari neendon mein farq aaye
mujhe to yun apne hijr mein umr bhar ko bezaar-e-khwaab kar de

main jaan-o-dil se tasavvur-husn-e-dost ki mastiyon ke qurbaan
jo ik nazar mein kisi ke be-kaif aansuon ko sharaab kar de

uroos-e-fitrat ka ek khoya hua tabassum hai jis ko akhtar
kahi vo chahe sharaab kar de kahi vo chahe shabaab kar de

अगर वो अपने हसीन चेहरे को भूल कर बे-नक़ाब कर दे
तो ज़र्रे को माहताब और माहताब को आफ़्ताब कर दे

तिरी मोहब्बत की वादियों में मिरी जवानी से दूर क्या है
जो सादा पानी को इक नशीली नज़र में रंगीं शराब कर दे

हरीम-ए-इशरत में सोने वाले शमीम-ए-गेसू की मस्तियों से
मिरी जवानी की सादा रातों को अब तो सरशार ख़्वाब कर दे

मज़े वो पाए हैं आरज़ू में कि दिल की ये आरज़ू है यारब
तमाम दुनिया की आरज़ूएँ मिरे लिए इंतिख़ाब कर दे

नज़र ना आने पे है ये हालत कि जंग है शैख़-ओ-बरहमन में
ख़बर नहीं क्या से क्या हो दुनिया जो ख़ुद को वो बे-नक़ाब कर दे

मिरे गुनाहों की शोरिशें इस लिए ज़ियादा रही हैं यारब
कि इन की गुस्ताख़ियों से तू अपने अफ़्व को बे-हिसाब कर दे

ख़ुदा न लाए वो दिन कि तेरी सुनहरी नींदों में फ़र्क़ आए
मुझे तो यूँ अपने हिज्र में उम्र भर को बेज़ार-ए-ख़्वाब कर दे

मैं जान-ओ-दिल से तसव्वुर-हुस्न-ए-दोस्त की मस्तियों के क़ुर्बां
जो इक नज़र में किसी के बे-कैफ़ आँसुओं को शराब कर दे

उरूस-ए-फ़ितरत का एक खोया हुआ तबस्सुम है जिस को 'अख़्तर'
कहीं वो चाहे शराब कर दे कहीं वो चाहे शबाब कर दे

  - Akhtar Shirani

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari