ai dil vo aashiqi ke fasaane kidhar gaye | ऐ दिल वो आशिक़ी के फ़साने किधर गए - Akhtar Shirani

ai dil vo aashiqi ke fasaane kidhar gaye
vo umr kya hui vo zamaane kidhar gaye

veeraan hain sahan o baagh bahaaron ko kya hua
vo bulbulein kahaan vo taraane kidhar gaye

hai najd mein sukoot hawaon ko kya hua
lailaaen hain khamosh deewane kidhar gaye

ujde pade hain dasht ghazaalon pe kya bani
soone hain kohsaar deewane kidhar gaye

vo hijr mein visaal ki ummeed kya hui
vo ranj mein khushi ke bahaane kidhar gaye

din raat may-kade mein guzarti thi zindagi
akhtar vo be-khudi ke zamaane kidhar gaye

ऐ दिल वो आशिक़ी के फ़साने किधर गए
वो उम्र क्या हुई वो ज़माने किधर गए

वीराँ हैं सहन ओ बाग़ बहारों को क्या हुआ
वो बुलबुलें कहाँ वो तराने किधर गए

है नज्द में सुकूत हवाओं को क्या हुआ
लैलाएँ हैं ख़मोश दिवाने किधर गए

उजड़े पड़े हैं दश्त ग़ज़ालों पे क्या बनी
सूने हैं कोहसार दिवाने किधर गए

वो हिज्र में विसाल की उम्मीद क्या हुई
वो रंज में ख़ुशी के बहाने किधर गए

दिन रात मय-कदे में गुज़रती थी ज़िंदगी
'अख़्तर' वो बे-ख़ुदी के ज़माने किधर गए

- Akhtar Shirani
0 Likes

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari