vaada us maah-roo ke aane ka | वादा उस माह-रू के आने का

  - Akhtar Shirani

vaada us maah-roo ke aane ka
ye naseeba siyaah-khaane ka

kah rahi hai nigaah-e-duz-deeda
rukh badlne ko hai zamaane ka

zarre zarre mein be-hijaab hain vo
jin ko daava hai munh chhupaane ka

hasil-e-umr hai shabaab magar
ik yahi waqt hai ganwaane ka

chaandni khaamoshi aur aakhir shab
aa ki hai waqt dil lagaane ka

hai qayamat tire shabaab ka rang
rang badlega phir zamaane ka

teri aankhon ki ho na ho taqseer
naam rusva sharaab-khaane ka

rah gaye ban ke ham saraapa gham
ye nateeja hai dil lagaane ka

jis ka har lafz hai saraapa gham
main hoon unwaan us fasaane ka

us ki badli hui nazar tauba
yun badalta hai rukh zamaane ka

dekhte hain hamein vo chhup chhup kar
parda rah jaaye munh chhupaane ka

kar diya khuugar-e-sitam akhtar
ham pe ehsaan hai zamaane ka

वादा उस माह-रू के आने का
ये नसीबा सियाह-ख़ाने का

कह रही है निगाह-ए-दुज़-दीदा
रुख़ बदलने को है ज़माने का

ज़र्रे ज़र्रे में बे-हिजाब हैं वो
जिन को दावा है मुँह छुपाने का

हासिल-ए-उम्र है शबाब मगर
इक यही वक़्त है गँवाने का

चाँदनी ख़ामुशी और आख़िर शब
आ कि है वक़्त दिल लगाने का

है क़यामत तिरे शबाब का रंग
रंग बदलेगा फिर ज़माने का

तेरी आँखों की हो न हो तक़्सीर
नाम रुस्वा शराब-ख़ाने का

रह गए बन के हम सरापा ग़म
ये नतीजा है दिल लगाने का

जिस का हर लफ़्ज़ है सरापा ग़म
मैं हूँ उनवान उस फ़साने का

उस की बदली हुई नज़र तौबा
यूँ बदलता है रुख़ ज़माने का

देखते हैं हमें वो छुप छुप कर
पर्दा रह जाए मुँह छुपाने का

कर दिया ख़ूगर-ए-सितम 'अख़्तर'
हम पे एहसान है ज़माने का

  - Akhtar Shirani

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari