meri aankhon se zaahir khun-fishaani ab bhi hoti hai | मिरी आँखों से ज़ाहिर ख़ूँ-फ़िशानी अब भी होती है - Akhtar Shirani

meri aankhon se zaahir khun-fishaani ab bhi hoti hai
nigaahon se bayaan dil ki kahaani ab bhi hoti hai

suroor-aara sharaab-e-arghwaani ab bhi hoti hai
mere qadmon mein duniya ki jawaani ab bhi hoti hai

koi jhonka to laati ai naseem ataraaf-e-kanaan tak
savaad-e-misr mein ambar-fishaani ab bhi hoti hai

vo shab ko mushk-boo pardo mein chhup kar aa hi jaate hain
mere khwaabon par un ki meherbaani ab bhi hoti hai

kahi se haath aa jaaye to hum ko bhi koi la de
suna hai is jahaan mein shaadmaani ab bhi hoti hai

hilaal o badr ke naqshe sabq dete hain insaan ko
ki naakaami bina-e-kaamraani ab bhi hoti hai

kahi aghyaar ke khwaabon mein chhup chhup kar na jaate hon
vo pahluu mein hain lekin bad-gumaani ab bhi hoti hai

samajhta hai shikast-e-tauba ashk-e-taubaa ko zaahid
meri aankhon ki rangat arghwaani ab bhi hoti hai

vo barsaatein vo baatein vo mulaqaatein kahaan hamdam
watan ki raat hone ko suhaani ab bhi hoti hai

khafa hain phir bhi aa kar chhed jaate hain tasavvur mein
hamaare haal par kuch meherbaani ab bhi hoti hai

zabaan hi mein na ho taaseer to main kya karoon naaseh
tiri baaton se paida sargiraani ab bhi hoti hai

tumhaare gesuon ki chaanv mein ik raat guzri thi
sitaaron ki zabaan par ye kahaani ab bhi hoti hai

pas-e-taubaa bhi pee lete hain jaam-e-ghuncha-o-gul se
bahaaron mein junoon ki mehmaani ab bhi hoti hai

koi khush ho meri maayusiyaan fariyaad karti hain
ilaahi kya jahaan mein shaadmaani ab bhi hoti hai

buton ko kar diya tha jis ne majboor-e-sukhan akhtar
labon par vo nava-e-aasmaani ab bhi hoti hai

मिरी आँखों से ज़ाहिर ख़ूँ-फ़िशानी अब भी होती है
निगाहों से बयाँ दिल की कहानी अब भी होती है

सुरूर-आरा शराब-ए-अर्ग़वानी अब भी होती है
मिरे क़दमों में दुनिया की जवानी अब भी होती है

कोई झोंका तो लाती ऐ नसीम अतराफ़-ए-कनआँ तक
सवाद-ए-मिस्र में अम्बर-फ़िशानी अब भी होती है

वो शब को मुश्क-बू पर्दों में छुप कर आ ही जाते हैं
मिरे ख़्वाबों पर उन की मेहरबानी अब भी होती है

कहीं से हाथ आ जाए तो हम को भी कोई ला दे
सुना है इस जहाँ में शादमानी अब भी होती है

हिलाल ओ बद्र के नक़्शे सबक़ देते हैं इंसाँ को
कि नाकामी बिना-ए-कामरानी अब भी होती है

कहीं अग़्यार के ख़्वाबों में छुप छुप कर न जाते हों
वो पहलू में हैं लेकिन बद-गुमानी अब भी होती है

समझता है शिकस्त-ए-तौबा अश्क-ए-तौबा को ज़ाहिद
मिरी आँखों की रंगत अर्ग़वानी अब भी होती है

वो बरसातें वो बातें वो मुलाक़ातें कहाँ हमदम
वतन की रात होने को सुहानी अब भी होती है

ख़फ़ा हैं फिर भी आ कर छेड़ जाते हैं तसव्वुर में
हमारे हाल पर कुछ मेहरबानी अब भी होती है

ज़बाँ ही में न हो तासीर तो मैं क्या करूँ नासेह
तिरी बातों से पैदा सरगिरानी अब भी होती है

तुम्हारे गेसुओं की छाँव में इक रात गुज़री थी
सितारों की ज़बाँ पर ये कहानी अब भी होती है

पस-ए-तौबा भी पी लेते हैं जाम-ए-ग़ुंचा-ओ-गुल से
बहारों में जुनूँ की मेहमानी अब भी होती है

कोई ख़ुश हो मिरी मायूसियाँ फ़रियाद करती हैं
इलाही क्या जहाँ में शादमानी अब भी होती है

बुतों को कर दिया था जिस ने मजबूर-ए-सुख़न 'अख़्तर'
लबों पर वो नवा-ए-आसमानी अब भी होती है

- Akhtar Shirani
0 Likes

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari