la pila saaqi sharaab-e-arghwaani phir kahaan | ला पिला साक़ी शराब-ए-अर्ग़वानी फिर कहाँ - Akhtar Shirani

la pila saaqi sharaab-e-arghwaani phir kahaan
zindagaani phir kahaan naadaan jawaani phir kahaan

do ghadi mil baithne ko bhi ghaneemat jaaniye
umr faani hi sahi ye umr-e-faani phir kahaan

aa ki hum bhi ik taraana jhoom kar gaate chalen
is chaman ke taaeron ki hum-zabaani phir kahaan

hai zamaana ishq-e-salma mein ganwa de zindagi
ye zamaana phir kahaan ye zindagaani phir kahaan

ek hi basti mein hain aasaan hai milna aa milo
kya khabar le jaaye daur-e-aasmaani phir kahaan

fasl-e-gul jaane ko hai daur-e-khizaan aane ko hai
ye chaman ye bulbulein ye naghma-khwaani phir kahaan

phool chun jee khol kar aish-o-tarab ke phool chun
mausam-e-gul phir kahaan fasl-e-jawaani phir kahaan

aakhiri raat aa gai jee bhar ke mil len aaj to
tum se milne dega daur-e-aasmaani phir kahaan

aaj aaye ho to sunte jaao ye taaza ghazal
warna akhtar phir kahaan ye sher-khwaani phir kahaan

ला पिला साक़ी शराब-ए-अर्ग़वानी फिर कहाँ
ज़िंदगानी फिर कहाँ नादाँ जवानी फिर कहाँ

दो घड़ी मिल बैठने को भी ग़नीमत जानिए
उम्र फ़ानी ही सही ये उम्र-ए-फ़ानी फिर कहाँ

आ कि हम भी इक तराना झूम कर गाते चलें
इस चमन के ताएरों की हम-ज़बानी फिर कहाँ

है ज़माना इश्क़-ए-सलमा में गँवा दे ज़िंदगी
ये ज़माना फिर कहाँ ये ज़िंदगानी फिर कहाँ

एक ही बस्ती में हैं आसाँ है मिलना आ मिलो
क्या ख़बर ले जाए दौर-ए-आसमानी फिर कहाँ

फ़स्ल-ए-गुल जाने को है दौर-ए-ख़िज़ाँ आने को है
ये चमन ये बुलबुलें ये नग़्मा-ख़्वानी फिर कहाँ

फूल चुन जी खोल कर ऐश-ओ-तरब के फूल चुन
मौसम-ए-गुल फिर कहाँ फस्ल-ए-जवानी फिर कहाँ

आख़िरी रात आ गई जी भर के मिल लें आज तो
तुम से मिलने देगा दौर-ए-आसमानी फिर कहाँ

आज आए हो तो सुनते जाओ ये ताज़ा ग़ज़ल
वर्ना 'अख़्तर' फिर कहाँ ये शेर-ख़्वानी फिर कहाँ

- Akhtar Shirani
1 Like

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari