us mah-jabeen se aaj mulaqaat ho gai | उस मह-जबीं से आज मुलाक़ात हो गई

  - Akhtar Shirani

us mah-jabeen se aaj mulaqaat ho gai
bedard aasmaan ye kya baat ho gai

aawaargaan-e-ishq ka maskan na poochiye
pad rahte hain wahin pe jahaan raat ho gai

zikr-e-shab-e-visaal ho kya qissa mukhtasar
jis baat se vo darte the vo baat ho gai

masjid ko ham chale gaye masti mein bhool kar
ham se khata ye peer-e-kharaabaat ho gai

pichhle ghamon ka zikr hi kya jab vo mil gaye
ai aasmaan talaafi-e-maafaat ho gai

zaahid ko zindagi hi mein kausar chakha diya
rindon se aaj ye bhi karaamaat ho gai

bechain rakhne waale pareshaan hon khud na kyun
aakhir ko teri zulf meri raat ho gai

jhoola jhulaaen chal ke haseenon ko baagh mein
gujraat mein suna hai ki barsaat ho gai

kya faaeda ab akhtar agar paarsa bane
jab saari umr nazr-e-kharaabaat ho gai

उस मह-जबीं से आज मुलाक़ात हो गई
बेदर्द आसमान ये क्या बात हो गई

आवारगान-ए-इश्क़ का मस्कन न पूछिए
पड़ रहते हैं वहीं पे जहाँ रात हो गई

ज़िक्र-ए-शब-ए-विसाल हो क्या क़िस्सा मुख़्तसर
जिस बात से वो डरते थे वो बात हो गई

मस्जिद को हम चले गए मस्ती में भूल कर
हम से ख़ता ये पीर-ए-ख़राबात हो गई

पिछले ग़मों का ज़िक्र ही क्या जब वो मिल गए
ऐ आसमाँ तलाफ़ी-ए-माफ़ात हो गई

ज़ाहिद को ज़िंदगी ही में कौसर चखा दिया
रिंदों से आज ये भी करामात हो गई

बेचैन रखने वाले परेशाँ हों ख़ुद न क्यूँ
आख़िर को तेरी ज़ुल्फ़ मिरी रात हो गई

झूला झुलाएँ चल के हसीनों को बाग़ में
गुजरात में सुना है कि बरसात हो गई

क्या फ़ाएदा अब 'अख़्तर' अगर पारसा बने
जब सारी उम्र नज़्र-ए-ख़राबात हो गई

  - Akhtar Shirani

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari