hazeen hai bekas-o-ranjoor hai dil | हज़ीं है बेकस-ओ-रंजूर है दिल

  - Akhtar Shirani

hazeen hai bekas-o-ranjoor hai dil
mohabbat par magar majboor hai dil

tumhaare noor se ma'amoor hai dil
ajab kya hai ki rask-e-toor hai dil

tumhaare ishq se masroor hai dil
abhi tak mast hai makhmoor hai dil

kiya hai yaad us yaad-e-jahaan ne
ilaahi kis qadar masroor hai dil

bahut chaaha na jaayen tere dar par
magar kya kijie majboor hai dil

faqiri mein use haasil hai shaahi
tumhaare ishq par maghroor hai dil

tire jalwe ka hai jis din se maskan
jawaab-e-jalwa-gaah-e-toor hai dil

do-aalam ko bhula den kyun na akhtar
ki us ki yaad se ma'amoor hai dil

हज़ीं है बेकस-ओ-रंजूर है दिल
मोहब्बत पर मगर मजबूर है दिल

तुम्हारे नूर से मा'मूर है दिल
अजब क्या है कि रश्क-ए-तूर है दिल

तुम्हारे इश्क़ से मसरूर है दिल
अभी तक मस्त है मख़मूर है दिल

किया है याद उस याद-ए-जहाँ ने
इलाही किस क़दर मसरूर है दिल

बहुत चाहा न जाएँ तेरे दर पर
मगर क्या कीजिए मजबूर है दिल

फ़क़ीरी में उसे हासिल है शाही
तुम्हारे इश्क़ पर मग़रूर है दिल

तिरे जल्वे का है जिस दिन से मस्कन
जवाब-ए-जल्वा-गाह-ए-तूर है दिल

दो-आलम को भुला दें क्यूँ न 'अख़्तर'
कि उस की याद से मा'मूर है दिल

  - Akhtar Shirani

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari