na vo khizaan rahi baaki na vo bahaar rahi | न वो ख़िज़ाँ रही बाक़ी न वो बहार रही - Akhtar Shirani

na vo khizaan rahi baaki na vo bahaar rahi
rahi to meri kahaani hi yaadgaar rahi

wahi nazar hai nazar jo bai-hama pasti
sitaara-geer rahi kahkashaan shikaar rahi

shab-e-bahaar mein taaron se khelne waale
kisi ki aankh bhi shab bhar sitaara-baar rahi

tamaam umr raha garche main tahee-pahlū
basi hui mere pahluu mein boo-e-yaar rahi

koi aziz na thehra hamaare dafn ke baad
rahi jo paas to sham'a sar-e-mazaar rahi

vo phool hoon jo khila ho khizaan ke mausam mein
tamaam umr mujhe hasrat-e-bahaar rahi

kabhi na bhoolengi us shab ki lazzaaten akhtar
ki mere seene pe vo zulf-e-mushk-baar rahi

न वो ख़िज़ाँ रही बाक़ी न वो बहार रही
रही तो मेरी कहानी ही यादगार रही

वही नज़र है नज़र जो बईं-हमा पस्ती
सितारा-गीर रही कहकशाँ शिकार रही

शब-ए-बहार में तारों से खेलने वाले
किसी की आँख भी शब भर सितारा-बार रही

तमाम उम्र रहा गरचे मैं तही-पहलू
बसी हुई मिरे पहलू में बू-ए-यार रही

कोई अज़ीज़ न ठहरा हमारे दफ़्न के बाद
रही जो पास तो शम्अ सर-ए-मज़ार रही

वो फूल हूँ जो खिला हो ख़िज़ाँ के मौसम में
तमाम उम्र मुझे हसरत-ए-बहार रही

कभी न भूलेंगी उस शब की लज़्ज़तें 'अख़्तर'
कि मेरे सीने पे वो ज़ुल्फ़-ए-मुश्क-बार रही

- Akhtar Shirani
0 Likes

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari