dil-e-shikasta hareef-e-shabaab ho na saka | दिल-ए-शिकस्ता हरीफ़-ए-शबाब हो न सका

  - Akhtar Shirani

dil-e-shikasta hareef-e-shabaab ho na saka
ye jaam-e-zarf navaaz-e-sharaab ho na saka

kuchh aise rehm ke qaabil the ibtida hi se ham
ki un se bhi sitam-e-be-hisaab ho na saka

nazar na aaya kabhi shab ko un ka jalwa-e-rukh
ye aftaab kabhi mahtaab ho na saka

nigaah-e-faiz se mahroom bartari ma'aloom
sitaara chamka magar aftaab ho na saka

hai jaam khaali to feeki hai chaandni kaisi
ye sail-e-noor sitam hai sharaab ho na saka

ye may chhalk ke bhi us husn ko pahunch na saki
ye phool ghul ke bhi us ka shabaab ho na saka

kisi ki shokh-navaai ka hosh tha kis ko
main na-tawan to hareef-e-khitaab ho na saka

hoon tere vasl se mayus is qadar goya
kabhi jahaan mein koi kaamyaab ho na saka

vo poochte hain tire dil ki aarzoo kya hai
ye khwaab haaye kabhi mera khwaab ho na saka

talaash-e-ma'ni-e-hasti mein falsafa na khird
ye raaz aaj talak be-hijaab ho na saka

sharaab-e-ishq mein aisi kashish si thi akhtar
ki laakh zabt kiya ijtinaab ho na saka

दिल-ए-शिकस्ता हरीफ़-ए-शबाब हो न सका
ये जाम-ए-ज़र्फ़ नवाज़-ए-शराब हो न सका

कुछ ऐसे रहम के क़ाबिल थे इब्तिदा ही से हम
कि उन से भी सितम-ए-बे-हिसाब हो न सका

नज़र न आया कभी शब को उन का जल्वा-ए-रुख़
ये आफ़्ताब कभी माहताब हो न सका

निगाह-ए-फ़ैज़ से महरूम बरतरी मा'लूम
सितारा चमका मगर आफ़्ताब हो न सका

है जाम ख़ाली तो फीकी है चाँदनी कैसी
ये सैल-ए-नूर सितम है शराब हो न सका

ये मय छलक के भी उस हुस्न को पहुँच न सकी
ये फूल घुल के भी उस का शबाब हो न सका

किसी की शोख़-नवाई का होश था किस को
मैं ना-तवाँ तो हरीफ़‌‌‌‌-ए-ख़िताब हो न सका

हूँ तेरे वस्ल से मायूस इस क़दर गोया
कभी जहाँ में कोई कामयाब हो न सका

वो पूछते हैं तिरे दिल की आरज़ू क्या है
ये ख़्वाब हाए कभी मेरा ख़्वाब हो न सका

तलाश-ए-मा'नी-ए-हस्ती में फ़ल्सफ़ा न ख़िरद
ये राज़ आज तलक बे-हिजाब हो न सका

शराब-ए-इश्क़ में ऐसी कशिश सी थी 'अख़्तर'
कि लाख ज़ब्त किया इज्तिनाब हो न सका

  - Akhtar Shirani

Nasha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Nasha Shayari Shayari