main nahin hoon nahin kahi bhi nahin
ab koi aasmaan hai na zameen
ek duniya hui hai zer-e-nageen
shah-nasheen ho gaya hai khaak-nasheen
ye sukoon bhi hua malaal ke saath
vo bahtar jee raha hai yahin
baar-ha tu ne khwaab dikhlaaye
baar-ha ham ne kar liya hai yaqeen
ek veeraana tha basa na kabhi
bastiyaan ham se go hazaar baseen
jaise paani pe naqsh ho koi
raunqen sab adam-sabaat raheen
ghurfa-e-dard kis ne khol diya
tu to ab mere aas-paas nahin
मैं नहीं हूँ नहीं कहीं भी नहीं
अब कोई आसमान है न ज़मीं
एक दुनिया हुई है ज़ेर-ए-नगीं
शह-नशीं हो गया है ख़ाक-नशीं
ये सुकूँ भी हुआ मलाल के साथ
वो बहर-तौर जी रहा है यहीं
बार-हा तू ने ख़्वाब दिखलाए
बार-हा हम ने कर लिया है यक़ीं
एक वीराना था बसा न कभी
बस्तियाँ हम से गो हज़ार बसीं
जैसे पानी पे नक़्श हो कोई
रौनक़ें सब अदम-सबात रहीं
ग़ुर्फ़ा-ए-दर्द किस ने खोल दिया
तू तो अब मेरे आस-पास नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Naqqash
our suggestion based on Akram Naqqash
As you were reading Aitbaar Shayari Shayari