is tarah ham tumhaara asar dekhte ye haseen lab ye zulfen nazar dekhte
shehar se jab tumhaare guzarte kabhi to tumhaari gali khaaskar dekhte
ai sakhi be-tahaasha mohabbat tiri mujhko har rasm se maavra thi magar
umr tanhaa bitaane se achha ye tha tum safar mein koi hum-safar dekhte
naa-mukammal sabhi khwaab hain aaj tak phir bhi bas ek dil ki khushi ke liye
chashm-e-haira'n se bunte kisi khwaab ko phir usi khwaab ko raat bhar dekhte
ped hai ik lagaaya tire naam ka phool hain iske bilkul tire rang ke
tu nahin hai to kya ham tiri yaad mein mar bhi jaate agar gul-mohar dekhte
इस तरह हम तुम्हारा असर देखते ये हसीं लब ये ज़ुल्फ़ें नज़र देखते
शहर से जब तुम्हारे गुज़रते कभी तो तुम्हारी गली ख़ासकर देखते
ऐ सखी बे-तहाशा मोहब्बत तिरी मुझको हर रस्म से मावरा थी मगर
उम्र तन्हा बिताने से अच्छा ये था तुम सफ़र में कोई हम-सफ़र देखते
ना-मुकम्मल सभी ख़्वाब हैं आज तक फिर भी बस एक दिल की ख़ुशी के लिए
चश्म-ए-हैराँ से बुनते किसी ख़्वाब को फिर उसी ख़्वाब को रात भर देखते
पेड़ है इक लगाया तिरे नाम का फूल हैं इसके बिल्कुल तिरे रंग के
तू नहीं है तो क्या हम तिरी याद में मर भी जाते अगर गुल-मोहर देखते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Yadav
our suggestion based on Ankit Yadav
As you were reading haseen Shayari Shayari