jo mere dil mein lagi aag bujhaane ke liye
koii gham bhi to nahin mujhko rulaane ke liye
aur mujh se vo mohabbat mein juda ho jaaye
zakhm bhi to ho zamaane ko dikhaane ke liye
eid pe raah meri dekh rahi hai ammi
dil to bechain hai ab ghar ko ye jaane ke liye
ishq mein tum kabhi in pe ye bharosa na karo
bole ta-umr vo jo saath nibhaane ke liye
zahar se jo na mare ishq se vo mar jaata
shayari hi to sahaara hai bachaane ke liye
jab talak saath hai vo mera bada bhai to
laakh koshish karo tum mujhko mitaane ke liye
जो मेरे दिल में लगी आग बुझाने के लिए
कोई ग़म भी तो नहीं मुझको रुलाने के लिए
और मुझ से वो मोहब्बत में जुदा हो जाए
ज़ख़्म भी तो हो ज़माने को दिखाने के लिए
ईद पे राह मेरी देख रही है अम्मी
दिल तो बेचैन है अब घर को ये जाने के लिए
इश्क़ में तुम कभी इन पे ये भरोसा न करो
बोले ता-उम्र वो जो साथ निभाने के लिए
ज़हर से जो न मरे इश्क़ से वो मर जाता
शायरी ही तो सहारा है बचाने के लिए
जब तलक साथ है वो मेरा बड़ा भाई तो
लाख कोशिश करो तुम मुझको मिटाने के लिए
As you were reading Shayari by Nazre imam
our suggestion based on Nazre imam
As you were reading undefined Shayari