bikhar rahi hai jo quwwat vo phir munazzam ho
shikast ho to zaroori nahin ki maatam ho
sitaare samt-numa hain to iktifa kaisi
zameen par bhi kahi jugnuon ka parcham ho
vo waqt pet pe patthar hi baandhne ka hai
ki jab zameen pe hi khandaqon ka mausam ho
wahi to waqt munaasib hai mo'jize ke liye
kuchh aur aatish-e-qahat-o-muhaal barham ho
talash karte hue aayenge haraarat-o-noor
abhi na shola-e-baas-e-nawaaz madhham ho
बिखर रही है जो क़ुव्वत वो फिर मुनज़्ज़म हो
शिकस्त हो तो ज़रूरी नहीं कि मातम हो
सितारे सम्त-नुमा हैं तो इक्तिफ़ा कैसी
ज़मीन पर भी कहीं जुगनुओं का परचम हो
वो वक़्त पेट पे पत्थर ही बाँधने का है
कि जब ज़मीन पे ही ख़ंदक़ों का मौसम हो
वही तो वक़्त मुनासिब है मो'जिज़े के लिए
कुछ और आतिश-ए-क़हत-ओ-मुहाल बरहम हो
तलाश करते हुए आएँगे हरारत-ओ-नूर
अभी न शो'ला-ए-बा'स-ए-नवाज़ मद्धम हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Gham Shayari Shayari