dekhne mein lagti thi bheegti simatti raat | देखने में लगती थी भीगती सिमटती रात

  - Ali Akbar Abbas

dekhne mein lagti thi bheegti simatti raat
phailti gai lekin boond boond batti raat

titliyan pakadne ka aa gaya zamaana yaad
tez tez badhte ham door door hatti raat

kyun pahaad jaisa din khaak mein mila daala
pehle soch lete to gard mein na atti raat

pyaar se kiya ruksat ek ik sitaare ko
chha rahi phir aankhon mein aasmaan se chhatti raat

ik sada ki soorat ham is hawa mein zinda hain
ham jo raushni hote ham pe bhi jhapattee raat

देखने में लगती थी भीगती सिमटती रात
फैलती गई लेकिन बूँद बूँद बटती रात

तितलियाँ पकड़ने का आ गया ज़माना याद
तेज़ तेज़ बढ़ते हम दूर दूर हटती रात

क्यूँ पहाड़ जैसा दिन ख़ाक में मिला डाला
पहले सोच लेते तो गर्द में न अटती रात

प्यार से किया रुख़्सत एक इक सितारे को
छा रही फिर आँखों में आसमाँ से छटती रात

इक सदा की सूरत हम इस हवा में ज़िंदा हैं
हम जो रौशनी होते हम पे भी झपटती रात

  - Ali Akbar Abbas

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Akbar Abbas

As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Ali Akbar Abbas

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari