kisi pe baar-e-digar bhi nigaah kar na sake
koi bhi shauq ba-hadd-e-gunaah kar na sake
ujad-pane mein talab kar gaye javaaz-e-khata
khizr ke saath bhi ham to nibaah kar na sake
dayaar-e-hijr basaaya hai jo ki barson mein
dam-e-visaal ki khaatir tabaah kar na sake
amaan talab na hue dasht-e-be-panaah mein ham
savaad-e-jaan bhi magar harf-e-raah kar na sake
safar-maab yahi bahr-o-bar hai phir bhi ham
paron ko apne kushaa khwaah-makhaah kar na sake
किसी पे बार-ए-दिगर भी निगाह कर न सके
कोई भी शौक़ ब-हद्द-ए-गुनाह कर न सके
उजड-पने में तलब कर गए जवाज़-ए-ख़ता
ख़िज़र के साथ भी हम तो निबाह कर न सके
दयार-ए-हिज्र बसाया है जो कि बरसों में
दम-ए-विसाल की ख़ातिर तबाह कर न सके
अमाँ तलब न हुए दश्त-ए-बे-पनाह में हम
सवाद-ए-जाँ भी मगर हर्फ़-ए-राह कर न सके
सफ़र-मआब यही बहर-ओ-बर है फिर भी हम
परों को अपने कुशा ख़्वाह-मख़ाह कर न सके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Nazar Shayari Shayari