baithe hain jahaan saaqi paimana-e-zar le kar | बैठे हैं जहाँ साक़ी पैमाना-ए-ज़र ले कर

  - Ali Sardar Jafri

baithe hain jahaan saaqi paimana-e-zar le kar
us bazm se uth aaye ham deeda-e-tar le kar

yaadon se tiri raushan mehrab-e-shab-e-hijraan
dhoondhenge tujhe kab tak qindeel-e-qamar le kar

kya husn hai duniya mein kya lutf hai jeene mein
dekhe to koi mera andaaz-e-nazar le kar

hoti hai zamaane mein kis tarah paziraai
niklo to zara ghar se ik zauq-e-safar le kar

raahen chamak utthengi khurshid ki mash'al se
hamraah saba hogi khushboo-e-sehar le kar

makhmal si bichha denge qadmon ke tale saahil
dariya ubal aayenge sad-mauj-e-guhar le kar

pahnaayenge taaj apna pedon ke ghane saaye
niklengay shajar apne khush-rang samar le kar

lapkenge gale milne sarv aur sanobar sab
uthenge gulistaan bhi shaakh-e-gul-e-tar le kar

hanste hue shehron ki awaaz bulaayegi
lab jaam ke chamkengi sau shola-e-tar le kar

aflaak bajaayenge saaz apne sitaaron ka
gaayege bahut lamhe anfaas-e-sharar le kar

ye aalam-e-khaaki ik sayyaara-e-raushan hai
aflaak se takra do taqdeer-e-bashar le kar

बैठे हैं जहाँ साक़ी पैमाना-ए-ज़र ले कर
उस बज़्म से उठ आए हम दीदा-ए-तर ले कर

यादों से तिरी रौशन मेहराब-ए-शब-ए-हिज्राँ
ढूँढेंगे तुझे कब तक क़िंदील-ए-क़मर ले कर

क्या हुस्न है दुनिया में क्या लुत्फ़ है जीने में
देखे तो कोई मेरा अंदाज़-ए-नज़र ले कर

होती है ज़माने में किस तरह पज़ीराई
निकलो तो ज़रा घर से इक ज़ौक़-ए-सफ़र ले कर

राहें चमक उट्ठेंगी ख़ुर्शीद की मशअ'ल से
हमराह सबा होगी ख़ुश्बू-ए-सहर ले कर

मख़मल सी बिछा देंगे क़दमों के तले साहिल
दरिया उबल आएँगे सद-मौज-ए-गुहर ले कर

पहनाएँगे ताज अपना पेड़ों के घने साए
निकलेंगे शजर अपने ख़ुश-रंग समर ले कर

लपकेंगे गले मिलने सर्व और सनोबर सब
उठेंगे गुलिस्ताँ भी शाख़-ए-गुल-ए-तर ले कर

हँसते हुए शहरों की आवाज़ बुलाएगी
लब जाम के चमकेंगे सौ शो'ला-ए-तर ले कर

अफ़्लाक बजाएँगे साज़ अपने सितारों का
गाएँगे बहुत लम्हे अन्फ़ास-ए-शरर ले कर

ये आलम-ए-ख़ाकी इक सय्यारा-ए-रौशन है
अफ़्लाक से टकरा दो तक़दीर-ए-बशर ले कर

  - Ali Sardar Jafri

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari