aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan gul hoti jaati hai
magar zauq-e-junoon ki shola-saamaani nahin jaati
khuda maaloom kis kis ke lahu ki laala-kaari hai
zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati
agar yun hai to kyun hai yun nahin to kyun nahin aakhir
yaqeen mohkam hai lekin dil ki hairaani nahin jaati
lahu jitna tha saara sarf-e-maqtl ho gaya lekin
shaheedaan-e-wafaa ke rukh ki tabaani nahin jaati
pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan ka muqaddar hai
ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati
har ik shay aur mahangi aur mahangi hoti jaati hai
bas ik khoon-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati
naye khwaabon ke dil mein shola-e-khurshid-e-mahshar hai
zameer-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati
lagaate hain labon par mohr-e-arbaab-e-zabaan-bandi
ali-sardaar ki shaan-e-ghazal-khwaani nahin jaati
अक़ीदे बुझ रहे हैं शम-ए-जाँ गुल होती जाती है
मगर ज़ौक़-ए-जुनूँ की शो'ला-सामानी नहीं जाती
ख़ुदा मालूम किस किस के लहू की लाला-कारी है
ज़मीन-ए-कू-ए-जानाँ आज पहचानी नहीं जाती
अगर यूँ है तो क्यूँ है यूँ नहीं तो क्यूँ नहीं आख़िर
यक़ीं मोहकम है लेकिन दिल की हैरानी नहीं जाती
लहू जितना था सारा सर्फ़-ए-मक़्तल हो गया लेकिन
शहीदान-ए-वफ़ा के रुख़ की ताबानी नहीं जाती
परेशाँ-रोज़गार आशुफ़्ता-हालाँ का मुक़द्दर है
कि उस ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ की परेशानी नहीं जाती
हर इक शय और महँगी और महँगी होती जाती है
बस इक ख़ून-ए-बशर है जिस की अर्ज़ानी नहीं जाती
नए ख़्वाबों के दिल में शो'ला-ए-ख़ुर्शीद-ए-महशर है
ज़मीर-ए-हज़रत-ए-इंसाँ की सुल्तानी नहीं जाती
लगाते हैं लबों पर मोहर-ए-अर्बाब-ए-ज़बाँ-बंदी
अली-'सरदार' की शान-ए-ग़ज़ल-ख़्वानी नहीं जाती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Anjam Shayari Shayari