takhleeq pe fitrat ki guzarta hai gumaan aur | तख़्लीक़ पे फ़ितरत की गुज़रता है गुमाँ और

  - Ali Sardar Jafri

takhleeq pe fitrat ki guzarta hai gumaan aur
is aadam-e-khaaki ne banaya hai jahaan aur

ye subh hai suraj ki siyaahi se andheri
aayegi abhi ek sehar mehr-chakaan aur

badhni hai abhi aur bhi mazloom ki taqat
ghatni hai abhi zulm ki kuchh taab-o-tawaan aur

tar hogi zameen aur abhi khoon-e-bashar se
roega abhi deeda-e-khoonaaba-fishaan aur

badhne do zara aur abhi kuchh dast-e-talab ko
badh jaayegi do chaar shikan-e-zulf-e-butaan aur

karna hai abhi khoon-e-jigar sarf-e-bahaaran
kuchh der uthaana hai abhi naaz-e-khizaan aur

ham hain vo bala-kash ki masaib se jahaan ke
ho jaate hain shaista-e-gham-ha-e-jahaan aur

तख़्लीक़ पे फ़ितरत की गुज़रता है गुमाँ और
इस आदम-ए-ख़ाकी ने बनाया है जहाँ और

ये सुब्ह है सूरज की सियाही से अँधेरी
आएगी अभी एक सहर महर-चकाँ और

बढ़नी है अभी और भी मज़लूम की ताक़त
घटनी है अभी ज़ुल्म की कुछ ताब-ओ-तवाँ और

तर होगी ज़मीं और अभी ख़ून-ए-बशर से
रोएगा अभी दीदा-ए-ख़ूनाबा-फ़िशाँ और

बढ़ने दो ज़रा और अभी कुछ दस्त-ए-तलब को
बढ़ जाएगी दो चार शिकन-ए-ज़ुल्फ़-ए-बुताँ और

करना है अभी ख़ून-ए-जिगर सर्फ़-ए-बहाराँ
कुछ देर उठाना है अभी नाज़-ए-ख़िज़ाँ और

हम हैं वो बला-कश कि मसाइब से जहाँ के
हो जाते हैं शाइस्ता-ए-ग़म-हा-ए-जहाँ और

  - Ali Sardar Jafri

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari