sham'a ka may ka shafaq-zaar ka gulzaar ka rang | शम्अ' का मय का शफ़क़-ज़ार का गुलज़ार का रंग - Ali Sardar Jafri

sham'a ka may ka shafaq-zaar ka gulzaar ka rang
sab hain aur sab se juda hai lab-e-deedaar ka rang

aks-e-saaqi se chamak utthi hai saaghar ki jabeen
aur kuch tez hua baada-e-gulnaar ka rang

shaikh mein himmat-e-rindaan-e-qadah-khwaar kahaan
ek hi jaam mein aashufta hai dastaar ka rang

un ke aane ko chhupaau to chhupaau kyun kar
badla badla sa hai mere dar-o-deewar ka rang

shafaq-e-subh-e-shahaadat se hai taabinda jabeen
warna aalooda-e-khoon tha ufuuq-e-daar ka rang

aftaabon ki tarah jaagi hai insaan ki jot
jagmagataa hai sira pardaa-e-asraar ka rang

waqt ki rooh munavvar hai nava se meri
asr-e-nau mein hai meri shokhi-e-afkaar ka rang

शम्अ' का मय का शफ़क़-ज़ार का गुलज़ार का रंग
सब हैं और सब से जुदा है लब-ए-दीदार का रंग

अक्स-ए-साक़ी से चमक उट्ठी है साग़र की जबीं
और कुछ तेज़ हुआ बादा-ए-गुलनार का रंग

शैख़ में हिम्मत-ए-रिन्दान-ए-क़दह-ख़्वार कहाँ
एक ही जाम में आशुफ़्ता है दस्तार का रंग

उन के आने को छुपाऊँ तो छुपाऊँ क्यूँ कर
बदला बदला सा है मेरे दर-ओ-दीवार का रंग

शफ़क़-ए-सुब्ह-ए-शहादत से है ताबिंदा जबीं
वर्ना आलूदा-ए-ख़ूँ था उफ़ुक़-ए-दार का रंग

आफ़्ताबों की तरह जागी है इंसान की जोत
जगमगाता है सिरा पर्दा-ए-असरार का रंग

वक़्त की रूह मुनव्वर है नवा से मेरी
अस्र-ए-नौ में है मिरी शोख़ी-ए-अफ़्कार का रंग

- Ali Sardar Jafri
0 Likes

Bijli Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Bijli Shayari Shayari