mausam-e-rang bhi hai fasl-e-khizaan bhi taari
dekhna khoon ke dhabbe hain ki hai gul-kaari
us se har tarah se tazleel-e-bashar hoti hai
baa'is-e-fakhr nahin muflisi-o-naadaari
inqilaabi ho to hai faqr bhi tauqeer-e-hayaat
warna hai aajizi-o-be-kasi-o-ayyaari
shola-e-gul ki badha deti hai lau-e-baad-e-bahaar
tah-e-shabnam bhi dahak uthati hai ik chingaari
lamha lamha hai ki hai qaafila-e-manzil-e-noor
sarhad-e-shab mein bhi farmaan-e-sehar hai jaari
teg-o-khanjar ko ata karte hain lafzon ki niyaam
zulm ki karte hain jab ahl-e-sitam tayyaari
harf-e-'sardaar mein poshida hain asraar-e-hayaat
sher-e-'sardaar mein hai sarkashi-o-sarshaari
sher-e-'sardaar mein hai shola-e-bebaak ka rang
harf-e-'sardaar mein haq-goi-o-khush-guftaari
मौसम-ए-रंग भी है फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ भी तारी
देखना ख़ून के धब्बे हैं कि है गुल-कारी
उस से हर तरह से तज़लील-ए-बशर होती है
बाइस-ए-फ़ख़्र नहीं मुफ़लिसी-ओ-नादारी
इंक़िलाबी हो तो है फ़क़्र भी तौक़ीर-ए-हयात
वर्ना है आजिज़ी-ओ-बे-कसी-ओ-अय्यारी
शो'ला-ए-गुल की बढ़ा देती है लौ-ए-बाद-ए-बहार
तह-ए-शबनम भी दहक उठती है इक चिंगारी
लम्हा लम्हा है कि है क़ाफ़िला-ए-मंज़िल-ए-नूर
सरहद-ए-शब में भी फ़रमान-ए-सहर है जारी
तेग़-ओ-ख़ंजर को अता करते हैं लफ़्ज़ों की नियाम
ज़ुल्म की करते हैं जब अहल-ए-सितम तय्यारी
हर्फ़-ए-'सरदार' में पोशीदा हैं असरार-ए-हयात
शेर-ए-'सरदार' में है सरकशी-ओ-सरशारी
शेर-ए-'सरदार' में है शो'ला-ए-बेबाक का रंग
हर्फ़-ए-'सरदार' में हक़-गोई-ओ-ख़ुश-गुफ़्तारी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Deedar Shayari Shayari