farogh-e-deeda-o-dil laalaa-e-sehr ki tarah | फ़रोग़-ए-दीदा-ओ-दिल लाला-ए-सहर की तरह

  - Ali Sardar Jafri

farogh-e-deeda-o-dil laalaa-e-sehr ki tarah
ujaala bin ke raho sham-e-rahguzar ki tarah

payambaron ki tarah se jiyo zamaane mein
payaam-e-shauq bano daulat-e-hunar ki tarah

ye zindagi bhi koi zindagi hai hum-nafso
sitaara ban ke jale bujh gaye sharar ki tarah

dara saki na mujhe teergi zamaane ki
andheri raat se guzra hoon main qamar ki tarah

samundron ke talaatum ne mujh ko paala hai
chamak raha hoon isee vaaste guhar ki tarah

tamaam koh o tal o bahar o bar hain zer-e-nageen
khula hua hoon main shaheen ke baal-o-par ki tarah

tamaam daulat-e-kaunain hai khiraaj us ka
ye dil nahin kisi loote hue nagar ki tarah

guzar ke khaar se gunche se gul se shabnam se
main shaakh-e-waqt mein aaya hoon ik samar ki tarah

main dil mein talkhi-e-zehraab-e-gham bhi rakhta hoon
na misl-e-shahd hoon sheerin na main shakar ki tarah

khizaan ke dast-e-sitam ne mujhe chhua hai magar
tamaam shola o shabnam hoon kaashmar ki tarah

meri nava mein hai lutf-o-suroor-e-subh-e-nashaat
har ek sher hai rindon ki shaam-e-tar ki tarah

ye faatehaana ghazal asr-e-nau ka hai aahang
buland o past ko dekha hai deeda-war ki tarah

फ़रोग़-ए-दीदा-ओ-दिल लाला-ए-सहर की तरह
उजाला बिन के रहो शम-ए-रहगुज़र की तरह

पयम्बरों की तरह से जियो ज़माने में
पयाम-ए-शौक़ बनो दौलत-ए-हुनर की तरह

ये ज़िंदगी भी कोई ज़िंदगी है हम-नफ़सो
सितारा बन के जले बुझ गए शरर की तरह

डरा सकी न मुझे तीरगी ज़माने की
अँधेरी रात से गुज़रा हूँ मैं क़मर की तरह

समुंदरों के तलातुम ने मुझ को पाला है
चमक रहा हूँ इसी वास्ते गुहर की तरह

तमाम कोह ओ तल ओ बहर ओ बर हैं ज़ेर-ए-नगीं
खुला हुआ हूँ मैं शाहीं के बाल-ओ-पर की तरह

तमाम दौलत-ए-कौनैन है ख़िराज उस का
ये दिल नहीं किसी लूटे हुए नगर की तरह

गुज़र के ख़ार से ग़ुंचे से गुल से शबनम से
मैं शाख़-ए-वक़्त में आया हूँ इक समर की तरह

मैं दिल में तल्ख़ी-ए-ज़हराब-ए-ग़म भी रखता हूँ
न मिस्ल-ए-शहद हूँ शीरीं न मैं शकर की तरह

ख़िज़ाँ के दस्त-ए-सितम ने मुझे छुआ है मगर
तमाम शो'ला ओ शबनम हूँ काशमर की तरह

मिरी नवा में है लुत्फ़-ओ-सुरूर-ए-सुब्ह-ए-नशात
हर एक शेर है रिंदों की शाम-ए-तर की तरह

ये फ़ातेहाना ग़ज़ल अस्र-ए-नौ का है आहंग
बुलंद ओ पस्त को देखा है दीदा-वर की तरह

  - Ali Sardar Jafri

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari