shikast-e-shauq ko takmeel-e-aarzoo kahiye | शिकस्त-ए-शौक़ को तकमील-ए-आरज़ू कहिए

  - Ali Sardar Jafri

shikast-e-shauq ko takmeel-e-aarzoo kahiye
jo tishnagi ho to paimaana-o-suboo kahiye

khayaal-e-yaar ko deejie visaal-e-yaar ka naam
shab-e-firaq ko gaisoo-e-mushk-boo kahiye

charaagh-e-anjuman-e-hairat-e-nazara the
vo laala-roo jinhen ab daagh-e-aarzoo kahiye

mahak rahi hai ghazal zikr-e-zulf-e-khooban se
naseem-e-subh ki maanind koo-b-koo kahiye

shikaayaten bhi bahut hain hikaayaten bhi bahut
maza to jab hai ki yaaron ke roo-b-roo kahiye

b-hukm kijie phir khanjaron ki dildaari
dahan-e-zakhm se afsaana-e-guloo kahiye

शिकस्त-ए-शौक़ को तकमील-ए-आरज़ू कहिए
जो तिश्नगी हो तो पैमाना-ओ-सुबू कहिए

ख़याल-ए-यार को दीजिए विसाल-ए-यार का नाम
शब-ए-फ़िराक़ को गैसू-ए-मुश्क-बू कहिए

चराग़-ए-अंजुमन-ए-हैरत-ए-नज़ारा थे
वो लाला-रू जिन्हें अब दाग़-ए-आरज़ू कहिए

महक रही है ग़ज़ल ज़िक्र-ए-ज़ुल्फ़-ए-ख़ूबाँ से
नसीम-ए-सुब्ह की मानिंद कू-ब-कू कहिए

शिकायतें भी बहुत हैं हिकायतें भी बहुत
मज़ा तो जब है कि यारों के रू-ब-रू कहिए

ब-हुक्म कीजिए फिर ख़ंजरों की दिलदारी
दहान-ए-ज़ख़्म से अफ़्साना-ए-गुलू कहिए

  - Ali Sardar Jafri

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari