kaam ab koi na aayega bas ik dil ke siva | काम अब कोई न आएगा बस इक दिल के सिवा

  - Ali Sardar Jafri

kaam ab koi na aayega bas ik dil ke siva
raaste band hain sab koocha-e-qaatil ke siva

bais-e-rashk hai tanha-ravi-e-rah-rav-e-shauq
hum-safar koi nahin doori-e-manzil ke siva

ham ne duniya ki har ik shay se uthaya dil ko
lekin ek shokh ke hangaama-e-mahfil ke siva

teg munsif ho jahaan daar-o-rasan hon shaahid
be-gunah kaun hai us shehar mein qaateel ke siva

jaane kis rang se aayi hai gulistaan mein bahaar
koi naghma hi nahin shor-e-salaasil ke siva

काम अब कोई न आएगा बस इक दिल के सिवा
रास्ते बंद हैं सब कूचा-ए-क़ातिल के सिवा

बाइस-ए-रश्क है तन्हा-रवी-ए-रह-रव-ए-शौक़
हम-सफ़र कोई नहीं दूरी-ए-मंज़िल के सिवा

हम ने दुनिया की हर इक शय से उठाया दिल को
लेकिन एक शोख़ के हंगामा-ए-महफ़िल के सिवा

तेग़ मुंसिफ़ हो जहाँ दार-ओ-रसन हों शाहिद
बे-गुनह कौन है उस शहर में क़ातिल के सिवा

जाने किस रंग से आई है गुलिस्ताँ में बहार
कोई नग़्मा ही नहीं शोर-ए-सलासिल के सिवा

  - Ali Sardar Jafri

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari