dil ki aag jawaani ke rukhsaaron ko dahkaaye hai | दिल की आग जवानी के रुख़्सारों को दहकाए है

  - Ali Sardar Jafri

dil ki aag jawaani ke rukhsaaron ko dahkaaye hai
bahe paseena mukhde par ya suraj pighla jaaye hai

man ik nanha sa baalak hai humak humak rah jaaye hai
door se mukh ka chaand dikha kar kaun use lalchaaye hai

may hai teri aankhon mein aur mujh pe nasha sa taari hai
neend hai teri palkon mein aur khwaab mujhe dikhlaaye hai

tere qamat ki larzish se mauj-e-may mein larzish hai
teri nigaah ki masti hi paimaanon ko chhalkaaye hai

tera dard salaamat hai to marne ki ummeed nahin
laakh dukhi ho ye duniya rahne ki jagah ban jaaye hai

दिल की आग जवानी के रुख़्सारों को दहकाए है
बहे पसीना मुखड़े पर या सूरज पिघला जाए है

मन इक नन्हा सा बालक है हुमक हुमक रह जाए है
दूर से मुख का चाँद दिखा कर कौन उसे ललचाए है

मय है तेरी आँखों में और मुझ पे नशा सा तारी है
नींद है तेरी पलकों में और ख़्वाब मुझे दिखलाए है

तेरे क़ामत की लर्ज़िश से मौज-ए-मय में लर्ज़िश है
तेरी निगह की मस्ती ही पैमानों को छलकाए है

तेरा दर्द सलामत है तो मरने की उम्मीद नहीं
लाख दुखी हो ये दुनिया रहने की जगह बन जाए है

  - Ali Sardar Jafri

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari