ishq ka naghma junoon ke saaz par gaate hain ham | इश्क़ का नग़्मा जुनूँ के साज़ पर गाते हैं हम

  - Ali Sardar Jafri

ishq ka naghma junoon ke saaz par gaate hain ham
apne gham ki aanch se patthar ko pighlaate hain ham

jaag uthte hain to sooli par bhi neend aati nahin
waqt pad jaaye to angaaron pe so jaate hain ham

zindagi ko ham se badh kar kaun kar saka hai pyaar
aur agar marne pe aa jaayen to mar jaate hain ham

dafn ho kar khaak mein bhi dafn rah sakte nahin
laala-o-gul ban ke veeraanon pe chha jaate hain ham

ham ki karte hain chaman mein ehtimaam-e-rang-o-boo
roo-e-geeti se naqaab-e-husn sarkaate hain ham

aks padte hi sanwar jaate hain chehre ke nuqoosh
shaahid-e-hasti ko yun aaina dikhlaate hain ham

may-kashon ko muzda sadiyon ke pyaason ko naved
apni mehfil apna saaqi le ke ab aate hain ham

इश्क़ का नग़्मा जुनूँ के साज़ पर गाते हैं हम
अपने ग़म की आँच से पत्थर को पिघलाते हैं हम

जाग उठते हैं तो सूली पर भी नींद आती नहीं
वक़्त पड़ जाए तो अँगारों पे सो जाते हैं हम

ज़िंदगी को हम से बढ़ कर कौन कर सकता है प्यार
और अगर मरने पे आ जाएँ तो मर जाते हैं हम

दफ़्न हो कर ख़ाक में भी दफ़्न रह सकते नहीं
लाला-ओ-गुल बन के वीरानों पे छा जाते हैं हम

हम कि करते हैं चमन में एहतिमाम-ए-रंग-ओ-बू
रू-ए-गेती से नक़ाब-ए-हुस्न सरकाते हैं हम

अक्स पड़ते ही सँवर जाते हैं चेहरे के नुक़ूश
शाहिद-ए-हस्ती को यूँ आईना दिखलाते हैं हम

मय-कशों को मुज़्दा सदियों के प्यासों को नवेद
अपनी महफ़िल अपना साक़ी ले के अब आते हैं हम

  - Ali Sardar Jafri

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari