kabhi khandaan kabhi giryaa kabhi raqsa chaliye
door tak saath tire umr-e-gurezaan chaliye
rasm-e-deerinaa-e-aalam ko badlne ke liye
rasm-e-deerinaa-e-aalam se gurezaan chaliye
aasmaanon se barsta hai andhera kaisa
apni palkon pe liye jashn-e-charaagaan chaliye
shola-e-jan ko hawa deti hai khud baad-e-sumoom
shola-e-jan ki tarah chaak-garebaan chaliye
aql ke noor se dil kijie apna raushan
dil ki raahon se soo-e-manzil-e-insaan chaliye
gham nayi subh ke taare ka bahut hai lekin
le ke ab parcham-e-khurshid-e-darkhshaan chaliye
sar-b-kaf chalne ki aadat mein na farq aa jaaye
koocha-e-daar mein sar-mast-o-ghazal-khwaan chaliye
कभी ख़ंदाँ कभी गिर्यां कभी रक़सा चलिए
दूर तक साथ तिरे उम्र-ए-गुरेज़ाँ चलिए
रस्म-ए-देरीना-ए-आलम को बदलने के लिए
रस्म-ए-देरीना-ए-आलम से गुरेज़ाँ चलिए
आसमानों से बरसता है अँधेरा कैसा
अपनी पलकों पे लिए जश्न-ए-चराग़ाँ चलिए
शोला-ए-जाँ को हवा देती है ख़ुद बाद-ए-सुमूम
शोला-ए-जाँ की तरह चाक-गरेबाँ चलिए
अक़्ल के नूर से दिल कीजिए अपना रौशन
दिल की राहों से सू-ए-मंज़िल-ए-इंसाँ चलिए
ग़म नई सुब्ह के तारे का बहुत है लेकिन
ले के अब परचम-ए-ख़ुर्शीद-ए-दरख़्शाँ चलिए
सर-ब-कफ़ चलने की आदत में न फ़र्क़ आ जाए
कूचा-ए-दार में सर-मस्त-ओ-ग़ज़ल-ख़्वाँ चलिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Relationship Shayari Shayari