khoogar-e-roo-e-khush-jamaal hain ham | ख़ूगर-ए-रू-ए-ख़ुश-जमाल हैं हम

  - Ali Sardar Jafri

khoogar-e-roo-e-khush-jamaal hain ham
naaz-e-parvarda-e-visaal hain ham

ham ko yun raayegaan na kar dena
haasil-e-fasl-e-maah-o-saal hain ham

rang hi rang khushboo hi khushboo
gardish-e-saagar-e-khayaal hain ham

raunaq-e-kaarobaar-e-hasti hain
ham ne maana shikasta-haal hain ham

maal-o-zar maal-o-zar ki qeemat kya
saahib-e-daulat-e-kamaal hain ham

kis ki raanaai-e-khayaal hai tu
teri raanaai-e-jamaal hain ham

aise deewane phir na aayenge
dekh lo ham ko be-misaal hain ham

daulat-e-husn-e-la-zawaal hai tu
daulat-e-ishq-e-la-zawaal hain ham

ख़ूगर-ए-रू-ए-ख़ुश-जमाल हैं हम
नाज़-ए-परवर्दा-ए-विसाल हैं हम

हम को यूँ राएगाँ न कर देना
हासिल-ए-फ़स्ल-ए-माह-ओ-साल हैं हम

रंग ही रंग ख़ुशबू ही ख़ुशबू
गर्दिश-ए-साग़र-ए-ख़याल हैं हम

रौनक़-ए-कारोबार-ए-हस्ती हैं
हम ने माना शिकस्ता-हाल हैं हम

माल-ओ-ज़र, माल-ओ-ज़र की क़ीमत क्या
साहिब-ए-दौलत-ए-कमाल हैं हम

किस की रानाई-ए-ख़याल है तू
तेरी रानाई-ए-जमाल हैं हम

ऐसे दीवाने फिर न आएँगे
देख लो हम को बे-मिसाल हैं हम

दौलत-ए-हुस्न-ए-ला-ज़वाल है तू
दौलत-ए-इश्क़-ए-ला-ज़वाल हैं हम

  - Ali Sardar Jafri

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari