khird waalo junoon waalon ke veeraanon mein aa jaao
dilon ke baagh zakhamon ke gulistaanon mein aa jaao
ye daamaan o garebaan ab salaamat rah nahin sakte
abhi tak kuchh nahin bigda hai deewaanon mein aa jaao
sitam ki teg khud dast-e-sitam ko kaat deti hai
sitam-raano tum ab apne aza-khaanon mein aa jaao
ye kab tak sard laashein be-hisi ke barf-khaanon mein
charaagh-e-dard se raushan shabistaanon mein aa jaao
ye kab tak seem-o-zar ke junglon mein mask-e-khoon-khwaari
ye insaano ki basti hai ab insaano mein aa jaao
kabhi shabnam ka qatra ban ke chamko laala-o-gul par
kabhi daryaon ki soorat biyaabaanon mein aa jaao
hawa hai sakht ab ashkon ke parcham ud nahin sakte
lahu ke surkh parcham le ke maidaanon mein aa jaao
jaraahat-khaana-e-dil hai talaash-e-rang-o-nikhat mein
kahaan ho ai gulistaano garebaanon mein aa jaao
zamaana kar raha hai ehtimaam-e-jashn-e-bedaari
garebaan chaak kar ke shola-daamaanon mein aa jaao
ख़िरद वालो जुनूँ वालों के वीरानों में आ जाओ
दिलों के बाग़ ज़ख़्मों के गुलिस्तानों में आ जाओ
ये दामान ओ गरेबाँ अब सलामत रह नहीं सकते
अभी तक कुछ नहीं बिगड़ा है दीवानों में आ जाओ
सितम की तेग़ ख़ुद दस्त-ए-सितम को काट देती है
सितम-रानो तुम अब अपने अज़ा-ख़ानों में आ जाओ
ये कब तक सर्द लाशें बे-हिसी के बर्फ़-ख़ानों में
चिराग़-ए-दर्द से रौशन शबिस्तानों में आ जाओ
ये कब तक सीम-ओ-ज़र के जंगलों में मश्क़-ए-ख़ूँ-ख़्वारी
ये इंसानों की बस्ती है अब इंसानों में आ जाओ
कभी शबनम का क़तरा बन के चमको लाला-ओ-गुल पर
कभी दरियाओं की सूरत बयाबानों में आ जाओ
हवा है सख़्त अब अश्कों के परचम उड़ नहीं सकते
लहू के सुर्ख़ परचम ले के मैदानों में आ जाओ
जराहत-ख़ाना-ए-दिल है तलाश-ए-रंग-ओ-निकहत में
कहाँ हो ऐ गुलिस्तानो गरेबानों में आ जाओ
ज़माना कर रहा है एहतिमाम-ए-जश्न-ए-बेदारी
गरेबाँ चाक कर के शोला-दामानों में आ जाओ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Environment Shayari Shayari