chashma-e-bad-mast ko phir shewa-e-dil-daari de | चश्मा-ए-बद-मस्त को फिर शेवा-ए-दिल-दारी दे

  - Ali Sardar Jafri

chashma-e-bad-mast ko phir shewa-e-dil-daari de
dil-e-aawaara ko paighaam-e-giraftaari de

ishq hai saada-o-maasoom use apni tarah
jauhar-e-tegh-e-adaa khanjar-e-ayyaari de

jo dukhe dil hain unhen daulat-e-darmaan ho ata
dard ke haath mein mat kaasa-e-naadaari de

kitni farsooda hai ye jurm-o-sazaa ki duniya
sar-kashi dil ko naya zouq-e-gunahgaari de

shaakh-e-gul kab se hai seene mein chhupaaye hue gul
dekhen kab baad-e-saba hukm-e-chaman-kaari de

ai mere shola-e-dil shola-e-sher-o-daanish
raat aakhir hai use jashn-e-sharar-baari de

chaman afsurda hai ai jaan-e-chaman rooh-e-bahaar
gul ko bhi apne tabassum ki fusoon-kaari de

चश्मा-ए-बद-मस्त को फिर शेवा-ए-दिल-दारी दे
दिल-ए-आवारा को पैग़ाम-ए-गिरफ़्तारी दे

इश्क़ है सादा-ओ-मासूम उसे अपनी तरह
जौहर-ए-तेग़-ए-अदा ख़ंजर-ए-अय्यारी दे

जो दुखे दिल हैं उन्हें दौलत-ए-दरमाँ हो अता
दर्द के हाथ में मत कासा-ए-नादारी दे

कितनी फ़र्सूदा है ये जुर्म-ओ-सज़ा की दुनिया
सर-कशी दिल को नया ज़ौक़-ए-गुनहगारी दे

शाख़-ए-गुल कब से है सीने में छुपाए हुए गुल
देखें कब बाद-ए-सबा हुक्म-ए-चमन-कारी दे

ऐ मिरे शो'ला-ए-दिल शो'ला-ए-शेर-ओ-दानिश
रात आख़िर है उसे जश्न-ए-शरर-बारी दे

चमन अफ़्सुर्दा है ऐ जान-ए-चमन रूह-ए-बहार
गुल को भी अपने तबस्सुम की फ़ुसूँ-कारी दे

  - Ali Sardar Jafri

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari