main jahaan tum ko bulaata hoon wahan tak aao | मैं जहाँ तुम को बुलाता हूँ वहाँ तक आओ

  - Ali Sardar Jafri

main jahaan tum ko bulaata hoon wahan tak aao
meri nazaron se guzar kar dil-o-jaan tak aao

phir ye dekho ki zamaane ki hawa hai kaisi
saath mere mere firdaus-e-jawaan tak aao

hausla ho to udo mere tasavvur ki tarah
meri takh'eel ke gulzaar-e-jinaan tak aao

teg ki tarah chalo chhod ke aaghosh-e-niyaam
teer ki tarah se aaghosh-e-kamaan tak aao

phool ke gird firo baagh mein maanind-e-naseem
misl-e-parwaana kisi sham-e-tapaan tak aao

lo vo sadiyon ke jahannam ki hadein khatm hui
ab hai firdaus hi firdaus jahaan tak aao

chhod kar wahm-o-gumaan husn-e-yaqeen tak pahuncho
par yaqeen se bhi kabhi wahm-o-gumaan tak aao

isee duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar
shaikh-ji tum bhi zara koo-e-butaan tak aao

मैं जहाँ तुम को बुलाता हूँ वहाँ तक आओ
मेरी नज़रों से गुज़र कर दिल-ओ-जाँ तक आओ

फिर ये देखो कि ज़माने की हवा है कैसी
साथ मेरे मिरे फ़िरदौस-ए-जवाँ तक आओ

हौसला हो तो उड़ो मेरे तसव्वुर की तरह
मेरी तख़्ईल के गुलज़ार-ए-जिनाँ तक आओ

तेग़ की तरह चलो छोड़ के आग़ोश-ए-नियाम
तीर की तरह से आग़ोश-ए-कमाँ तक आओ

फूल के गिर्द फिरो बाग़ में मानिंद-ए-नसीम
मिस्ल-ए-परवाना किसी शम-ए-तपाँ तक आओ

लो वो सदियों के जहन्नम की हदें ख़त्म हुईं
अब है फ़िरदौस ही फ़िरदौस जहाँ तक आओ

छोड़ कर वहम-ओ-गुमाँ हुस्न-ए-यक़ीं तक पहुँचो
पर यक़ीं से भी कभी वहम-ओ-गुमाँ तक आओ

इसी दुनिया में दिखा दें तुम्हें जन्नत की बहार
शैख़-जी तुम भी ज़रा कू-ए-बुताँ तक आओ

  - Ali Sardar Jafri

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari