loo ke mausam mein bahaaron ki hawa maangte hain | लू के मौसम में बहारों की हवा माँगते हैं - Ali Sardar Jafri

loo ke mausam mein bahaaron ki hawa maangte hain
hum kaf-e-dast-e-khizaan par bhi hina maangte hain

hum-nasheen saada-dili-haa-e-tamannaa mat pooch
be-wafaon se wafaon ka sila maangte hain

kaash kar lete kabhi kaa'ba-e-dil ka bhi tawaaf
vo jo patthar ke makaanon se khuda maangte hain

jis mein ho satwat-e-shaheen ki parvaaz ka rang
lab-e-shaa'ir se vo bulbul ki nava maangte hain

taaki duniya pe khule un ka fareb-e-insaaf
be-khata ho ke khataaon ki saza maangte hain

teergi jitni badhe husn ho afzoon tera
kahkashaan maang mein maathe pe ziya maangte hain

ye hai waarftagi-e-shauq ka aalam sardaar
baarish-e-sang hai aur baad-e-saba maangte hain

लू के मौसम में बहारों की हवा माँगते हैं
हम कफ़-ए-दस्त-ए-ख़िज़ाँ पर भी हिना माँगते हैं

हम-नशीं सादा-दिली-हा-ए-तमन्ना मत पूछ
बे-वफ़ाओं से वफ़ाओं का सिला माँगते हैं

काश कर लेते कभी का'बा-ए-दिल का भी तवाफ़
वो जो पत्थर के मकानों से ख़ुदा माँगते हैं

जिस में हो सतवत-ए-शाहीन की परवाज़ का रंग
लब-ए-शाइ'र से वो बुलबुल की नवा माँगते हैं

ताकि दुनिया पे खुले उन का फ़रेब-ए-इंसाफ़
बे-ख़ता हो के ख़ताओं की सज़ा माँगते हैं

तीरगी जितनी बढ़े हुस्न हो अफ़्ज़ूँ तेरा
कहकशाँ माँग में माथे पे ज़िया माँगते हैं

ये है वारफ़्तगी-ए-शौक़ का आलम 'सरदार'
बारिश-ए-संग है और बाद-ए-सबा माँगते हैं

- Ali Sardar Jafri
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari