subh har ujaale pe raat ka gumaan kyun hai | सुब्ह हर उजाले पे रात का गुमाँ क्यूँ है - Ali Sardar Jafri

subh har ujaale pe raat ka gumaan kyun hai
jal rahi hai kya dharti arsh pe dhuaan kyun hai

khanjaron ki saazish par kab talak ye khaamoshi
rooh kyun hai yakh-basta naghma be-zabaan kyun hai

raasta nahin chalte sirf khaak udaate hain
kaarwaan se bhi aage gard-e-kaarwaan kyun hai

kuchh kami nahin lekin koi kuchh to batlaao
ishq is sitamgar ka shauq ka ziyaan kyun hai

ham to ghar se nikle the jeetne ko dil sab ka
teg haath mein kyun hai dosh par kamaan kyun hai

ye hai bazm-e-may-noshi is mein sab barabar hain
phir hisaab-e-saaqi mein sood kyun ziyaan kyun hai

den kis nigaah ki hai kin labon ki barkat hai
tum mein jafari itni shokhi-e-bayaan kyun hai

सुब्ह हर उजाले पे रात का गुमाँ क्यूँ है
जल रही है क्या धरती अर्श पे धुआँ क्यूँ है

ख़ंजरों की साज़िश पर कब तलक ये ख़ामोशी
रूह क्यूँ है यख़-बस्ता नग़्मा बे-ज़बाँ क्यूँ है

रास्ता नहीं चलते सिर्फ़ ख़ाक उड़ाते हैं
कारवाँ से भी आगे गर्द-ए-कारवाँ क्यूँ है

कुछ कमी नहीं लेकिन कोई कुछ तो बतलाओ
इश्क़ इस सितमगर का शौक़ का ज़ियाँ क्यूँ है

हम तो घर से निकले थे जीतने को दिल सब का
तेग़ हाथ में क्यूँ है दोश पर कमाँ क्यूँ है

ये है बज़्म-ए-मय-नोशी इस में सब बराबर हैं
फिर हिसाब-ए-साक़ी में सूद क्यूँ ज़ियाँ क्यूँ है

देन किस निगह की है किन लबों की बरकत है
तुम में 'जाफ़री' इतनी शोख़ी-ए-बयाँ क्यूँ है

- Ali Sardar Jafri
0 Likes

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari