ham jo mehfil mein tiri seena-figaar aate hain
rang-bar-dosh gulistaan-b-kinaar aate hain
chaak-dil chaak-jigar chaak-garebaan waale
misl-e-gul aate hain maanind-e-bahaar aate hain
koi maashooq sazaavaar-e-ghazal hai shaayad
ham ghazal le ke soo-e-shehar-e-nigaar aate hain
kya wahan koi dil-o-jaan ka talabgaar nahin
ja ke ham koocha-e-qaatil mein pukaar aate hain
qafile shauq ke rukte nahin deewaron se
saikdon mahbas-o-zindaan ke dayaar aate hain
manzilen daud ke rahraw ke qadam leti hain
bosa-e-paa ke liye raahguzar aate hain
khud kabhi mauj-o-talaatum se na nikle baahar
paar jo saare zamaane ko utaar aate hain
kam ho kyun abroo-e-qaatil ki kamaanon ka khinchaao
jab sar-e-teer-e-sitam aap shikaar aate hain
हम जो महफ़िल में तिरी सीना-फ़िगार आते हैं
रंग-बर-दोश गुलिस्ताँ-ब-कनार आते हैं
चाक-दिल चाक-जिगर चाक-गरेबाँ वाले
मिस्ल-ए-गुल आते हैं मानिंद-ए-बहार आते हैं
कोई माशूक़ सज़ावार-ए-ग़ज़ल है शायद
हम ग़ज़ल ले के सू-ए-शहर-ए-निगार आते हैं
क्या वहाँ कोई दिल-ओ-जाँ का तलबगार नहीं
जा के हम कूचा-ए-क़ातिल में पुकार आते हैं
क़ाफ़िले शौक़ के रुकते नहीं दीवारों से
सैंकड़ों महबस-ओ-ज़िन्दाँ के दयार आते हैं
मंज़िलें दौड़ के रहरव के क़दम लेती हैं
बोसा-ए-पा के लिए राहगुज़ार आते हैं
ख़ुद कभी मौज-ओ-तलातुम से न निकले बाहर
पार जो सारे ज़माने को उतार आते हैं
कम हो क्यूँ अबरू-ए-क़ातिल की कमानों का खिंचाओ
जब सर-ए-तीर-ए-सितम आप शिकार आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Awaaz Shayari Shayari