tumhaare ejaz-e-husn ki mere dil pe laakhon inaayaten hain
tumhaari hi den mere zauq-e-nazar ki saari lataafaten hain
jawaan hai suraj jabeen pe jis ke tumhaare maathe ki raushni hai
sehar haseen hai ki us ke rukh par tumhaare rukh ki sabahtein hain
main jin bahaaron ki parvarish kar raha hoon zindaan-e-gham mein hamdam
kisi ke gesu-o-chashm-o-rukhsaar-o-lab ki rangeen hikaayaten hain
na jaane chhalkaaye jaam kitne na jaane kitne suboo uchaale
magar meri tishnagi ki ab bhi tiri nazar se shikaayaten hain
main apni aankhon mein sail-e-ashk-e-ravaan nahin bijliyaan liye hoon
jo sar-buland aur ghayoor hain ahl-e-gham ye un ki rivaayatein hain
main raat ki god mein sitaare nahin sharaare bikherta hoon
sehar ke dil mein jo apne ashkon se bo raha hoon bagaavatein hain
ye sha'iri-e-nau ki paighambari zamaane ki daavari hai
labon pe mere sahifa-e-inqilaab ki surkh aayatein hain
तुम्हारे ए'जाज़-ए-हुस्न की मेरे दिल पे लाखों इनायतें हैं
तुम्हारी ही देन मेरे ज़ौक़-ए-नज़र की सारी लताफ़तें हैं
जवाँ है सूरज जबीं पे जिस के तुम्हारे माथे की रौशनी है
सहर हसीं है कि उस के रुख़ पर तुम्हारे रुख़ की सबाहतें हैं
मैं जिन बहारों की परवरिश कर रहा हूँ ज़िंदान-ए-ग़म में हमदम
किसी के गेसू-ओ-चश्म-ओ-रुख़सार-ओ-लब की रंगीं हिकायतें हैं
न जाने छलकाए जाम कितने न जाने कितने सुबू उछाले
मगर मिरी तिश्नगी कि अब भी तिरी नज़र से शिकायतें हैं
मैं अपनी आँखों में सैल-ए-अश्क-ए-रवाँ नहीं बिजलियाँ लिए हूँ
जो सर-बुलंद और ग़यूर हैं अहल-ए-ग़म ये उन की रिवायतें हैं
मैं रात की गोद में सितारे नहीं शरारे बिखेरता हूँ
सहर के दिल में जो अपने अश्कों से बो रहा हूँ बगावतें हैं
ये शाइ'री-ए-नौ की पैग़म्बरी ज़माने की दावरी है
लबों पे मेरे सहीफ़ा-ए-इन्क़िलाब की सुर्ख़ आयतें हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Ujaala Shayari Shayari