ab aa gaya hai jahaan mein to muskurata ja
chaman ke phool dilon ke kanwal khilaata ja
adam hayaat se pehle adam hayaat ke ba'ad
ye ek pal hai use jaavedaan banata ja
bhatk rahi hai andhere mein zindagi ki baraat
koi charaagh sar-e-rahguzar jalata ja
guzar chaman se misaal-e-naseem-e-subh-e-bahaar
gulon ko chhed ke kaanton ko gudgudaata ja
rah-e-daraaz hai aur door shauq ki manzil
garaan hai marhala-e-umr geet gaata ja
bala se bazm mein gar zauq-e-naghmagi kam hai
nava-e-talkh ko kuchh talkh-tar banata ja
jo ho sake to badal zindagi ko khud warna
nazaad-e-nau ko tareeq-e-junoon sikhaata ja
dikha ke jalwa-e-farda bana de deewaana
naye zamaane ke rukh se naqaab uthaata ja
bahut dinon se dil-o-jaan ki mahfilein hain udaas
koi taraana koi dastaan sunaata ja
अब आ गया है जहाँ में तो मुस्कुराता जा
चमन के फूल दिलों के कँवल खिलाता जा
अदम हयात से पहले अदम हयात के बा'द
ये एक पल है उसे जावेदाँ बनाता जा
भटक रही है अँधेरे में ज़िंदगी की बरात
कोई चराग़ सर-ए-रहगुज़र जलाता जा
गुज़र चमन से मिसाल-ए-नसीम-ए-सुब्ह-ए-बहार
गुलों को छेड़ के काँटों को गुदगुदाता जा
रह-ए-दराज़ है और दूर शौक़ की मंज़िल
गराँ है मरहला-ए-उम्र गीत गाता जा
बला से बज़्म में गर ज़ौक़-ए-नग़्मगी कम है
नवा-ए-तल्ख़ को कुछ तल्ख़-तर बनाता जा
जो हो सके तो बदल ज़िंदगी को ख़ुद वर्ना
नज़ाद-ए-नौ को तरीक़-ए-जुनूँ सिखाता जा
दिखा के जलवा-ए-फ़र्दा बना दे दीवाना
नए ज़माने के रुख़ से नक़ाब उठाता जा
बहुत दिनों से दिल-ओ-जाँ की महफ़िलें हैं उदास
कोई तराना कोई दास्ताँ सुनाता जा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Khushboo Shayari Shayari