sard hain dil aatish-e-roo-e-nigaaraan chahiye | सर्द हैं दिल आतिश-ए-रू-ए-निगाराँ चाहिए

  - Ali Sardar Jafri

sard hain dil aatish-e-roo-e-nigaaraan chahiye
shola-rang-e-bahaar-e-gul-e-zaaraan chahiye

manzil-e-ishq-o-junoon ke faasle hain sar-b-kaf
in kathin raahon mein lutf-e-dast-e-yaaraan chahiye

kat rahi hai aur kat chukti nahin fasl-e-khizaan
tez-tar ik aur teg-e-nau-bahaaraan chahiye

aaj may-khaane mein seher-e-chashm-e-saaqi ke liye
iltifaat-e-chashm mast-e-may-gusaaraan chahiye

is dil-e-wahshi ki aazaadi ka kya kijeye ilaaj
ik kamand-e-gesu-e-yazdaan-shikaaraan chahiye

naghma ban jaata hai naala un ki bazm-e-naaz mein
un ko khush rakhne ko shor-e-sogvaaraan chahiye

aasmaanon se barsate hain zameen par regzaar
aaj phir sardaar raqs-e-bark-o-baaraan chahiye

सर्द हैं दिल आतिश-ए-रू-ए-निगाराँ चाहिए
शो'ला-रंग-ए-बहार-ए-गुल-एज़ाराँ चाहिए

मंज़िल-ए-इश्क़-ओ-जुनूँ के फ़ासले हैं सर-ब-कफ़
इन कठिन राहों में लुत्फ़-ए-दस्त-ए-याराँ चाहिए

कट रही है और कट चुकती नहीं फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ
तेज़-तर इक और तेग़-ए-नौ-बहाराँ चाहिए

आज मय-ख़ाने में सेहर-ए-चश्म-ए-साक़ी के लिए
इल्तिफ़ात-ए-चश्म मस्त-ए-मय-गुसाराँ चाहिए

इस दिल-ए-वहशी की आज़ादी का क्या कीजे इलाज
इक कमंद-ए-गेसू-ए-यज़्दाँ-शिकाराँ चाहिए

नग़्मा बन जाता है नाला उन की बज़्म-ए-नाज़ में
उन को ख़ुश रखने को शोर-ए-सोगवाराँ चाहिए

आसमानों से बरसते हैं ज़मीं पर रेगज़ार
आज फिर 'सरदार' रक़्स-ए-बर्क़-ओ-बाराँ चाहिए

  - Ali Sardar Jafri

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari