fasl-e-gul fasl-e-khizaan jo bhi ho khush-dil rahiye | फ़स्ल-ए-गुल फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ जो भी हो ख़ुश-दिल रहिए

  - Ali Sardar Jafri

fasl-e-gul fasl-e-khizaan jo bhi ho khush-dil rahiye
koi mausam ho har ik rang mein kaamil rahiye

mauj o girdaab o talaatum ka taqaza hai kuchh aur
rahiye mohtaath to bas taa-lab-e-saahil rahiye

dekhte rahiye ki ho jaaye na kam shaan-e-junoon
aaina ban ke khud apne hi muqaabil rahiye

un ki nazaron ke siva sab ki nigaahen uthhiin
mahfil-e-yaar mein bhi zeenat-e-mahfil rahiye

dil pe har haal mein hai sohbat-e-naa-jins haraam
haif-sad-haif ki naa-jinso mein shaamil rahiye

daagh seene ka dahakta rahe jalta rahe dil
raat baaki hai jahaan tak mah-e-kaamil rahiye

jaaniye daulat-e-kaunain ko bhi jins-e-haqeer
aur dar-e-yaar pe ik bose ke sail rahiye

aashiqi shev-e-rindaan-e-bala-kash hai miyaan
vajh-e-shaistagi-e-khanjar-e-qaatil rahiye

फ़स्ल-ए-गुल फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ जो भी हो ख़ुश-दिल रहिए
कोई मौसम हो हर इक रंग में कामिल रहिए

मौज ओ गिर्दाब ओ तलातुम का तक़ाज़ा है कुछ और
रहिए मोहतात तो बस ता-लब-ए-साहिल रहिए

देखते रहिए कि हो जाए न कम शान-ए-जुनूँ
आइना बन के ख़ुद अपने ही मुक़ाबिल रहिए

उन की नज़रों के सिवा सब की निगाहें उट्ठीं
महफ़िल-ए-यार में भी ज़ीनत-ए-महफ़िल रहिए

दिल पे हर हाल में है सोहबत-ए-ना-जिंस हराम
हैफ़-सद-हैफ़ कि ना-जिंसों में शामिल रहिए

दाग़ सीने का दहकता रहे जलता रहे दिल
रात बाक़ी है जहाँ तक मह-ए-कामिल रहिए

जानिए दौलत-ए-कौनैन को भी जिंस-ए-हक़ीर
और दर-ए-यार पे इक बोसे के साइल रहिए

आशिक़ी शेव-ए-रिंदान-ए-बला-कश है मियाँ
वजह-ए-शाइस्तगी-ए-ख़ंजर-ए-क़ातिल रहिए

  - Ali Sardar Jafri

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari