haqeeqat mehram-e-asraar se pooch
maza angoor ka may-khwaar se pooch
wafa aghyaar ki aghyaar se sun
meri ulfat dar o deewaar se pooch
hamaari aah-e-be-taaseer ka haal
kuchh apne dil se kuchh aghyaar se pooch
dilon mein daalna zauq-e-aseeri
kamand-e-gesu-e-khamdaar se pooch
dil-e-mahjoor se sun lazzat-e-wasl
nashaat-e-aafiyat beemaar se pooch
nahin juz giryaa-e-gham haasil-e-ishq
hamaari chashm-e-dariya-baar se pooch
nahin aab-e-baqa juz jalwa-e-dost
kisi lab-tishna-e-deedaar se pooch
fareb-e-waada-e-dildaar ki qadr
shaheed-e-khanjar-e-inkaar se pooch
fughan-e-shauq ko maane nahin vasl
ye nukta andaleeb-e-zaar se pooch
tasavvur mein kiya karte hain jo ham
vo tasveer-e-khayaal-e-yaar se pooch
mata-e-be-baha hai sher-e-'haali
meri qeemat meri guftaar se pooch
हक़ीक़त महरम-ए-असरार से पूछ
मज़ा अंगूर का मय-ख़्वार से पूछ
वफ़ा अग़्यार की अग़्यार से सुन
मिरी उल्फ़त दर ओ दीवार से पूछ
हमारी आह-ए-बे-तासीर का हाल
कुछ अपने दिल से कुछ अग़्यार से पूछ
दिलों में डालना ज़ौक़-ए-असीरी
कमंद-ए-गेसू-ए-ख़मदार से पूछ
दिल-ए-महजूर से सुन लज़्ज़त-ए-वस्ल
नशात-ए-आफ़ियत बीमार से पूछ
नहीं जुज़ गिर्या-ए-ग़म हासिल-ए-इश्क़
हमारी चश्म-ए-दरिया-बार से पूछ
नहीं आब-ए-बक़ा जुज़ जल्वा-ए-दोस्त
किसी लब-तिश्ना-ए-दीदार से पूछ
फ़रेब-ए-वादा-ए-दिलदार की क़द्र
शहीद-ए-ख़ंजर-ए-इंकार से पूछ
फ़ुग़ान-ए-शौक़ को माने नहीं वस्ल
ये नुक्ता अंदलीब-ए-ज़ार से पूछ
तसव्वुर में किया करते हैं जो हम
वो तस्वीर-ए-ख़याल-ए-यार से पूछ
मता-ए-बे-बहा है शेर-ए-'हाली'
मिरी क़ीमत मिरी गुफ़्तार से पूछ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali
our suggestion based on Altaf Hussain Hali
As you were reading Sach Shayari Shayari