buri aur bhali sab guzar jaayegi
ye kashti yoonhi paar utar jaayegi
milega na gulchein ko gul ka pata
har ik pankhudi yun bikhar jaayegi
rahenge na mallaah ye din sada
koi din mein ganga utar jaayegi
idhar ek ham aur zamaana udhar
ye baazi to so biswe har jaayegi
banaavat ki shekhi nahin rahti shaikh
ye izzat to jaayegi par jaayegi
na poori hui hain umeedein na hon
yoonhi umr saari guzar jaayegi
sunenge na haali ki kab tak sada
yahi ek din kaam kar jaayegi
बुरी और भली सब गुज़र जाएगी
ये कश्ती यूँही पार उतर जाएगी
मिलेगा न गुलचीं को गुल का पता
हर इक पंखुड़ी यूँ बिखर जाएगी
रहेंगे न मल्लाह ये दिन सदा
कोई दिन में गंगा उतर जाएगी
इधर एक हम और ज़माना उधर
ये बाज़ी तो सो बिसवे हर जाएगी
बनावट की शेख़ी नहीं रहती शैख़
ये इज़्ज़त तो जाएगी पर जाएगी
न पूरी हुई हैं उमीदें न हों
यूँही उम्र सारी गुज़र जाएगी
सुनेंगे न 'हाली' की कब तक सदा
यही एक दिन काम कर जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali
our suggestion based on Altaf Hussain Hali
As you were reading Khuddari Shayari Shayari