hashr tak yaa dil shakeba chahiye
kab milen dilbar se dekha chahiye
hai tajalli bhi naqaab-e-roo-e-yaar
us ko kin aankhon se dekha chahiye
ghair-mumkin hai na ho taaseer-e-gham
haal-e-dil phir us ko likkha chahiye
hai dil-afgaaron ki dildaari zaroor
gar nahin ulfat madaaraa chahiye
hai kuchh ik baaki khalish ummeed ki
ye bhi mit jaaye to phir kya chahiye
doston ki bhi na ho parwa jise
be-niyaazi us ki dekha chahiye
bha gaye hain aap ke andaaz o naaz
kijie ighmaaz jitna chahiye
shaikh hai in ki nigaah jaadu bhari
sohbat-e-rindaa se bachna chahiye
lag gai chup haali'-e-ranjoor ko
haal is ka kis se poocha chahiye
हश्र तक याँ दिल शकेबा चाहिए
कब मिलें दिलबर से देखा चाहिए
है तजल्ली भी नक़ाब-ए-रू-ए-यार
उस को किन आँखों से देखा चाहिए
ग़ैर-मुमकिन है न हो तासीर-ए-ग़म
हाल-ए-दिल फिर उस को लिक्खा चाहिए
है दिल-अफ़गारों की दिलदारी ज़रूर
गर नहीं उल्फ़त मदारा चाहिए
है कुछ इक बाक़ी ख़लिश उम्मीद की
ये भी मिट जाए तो फिर क्या चाहिए
दोस्तों की भी न हो परवा जिसे
बे-नियाज़ी उस की देखा चाहिए
भा गए हैं आप के अंदाज़ ओ नाज़
कीजिए इग़्माज़ जितना चाहिए
शैख़ है इन की निगह जादू भरी
सोहबत-ए-रिंदाँ से बचना चाहिए
लग गई चुप 'हाली'-ए-रंजूर को
हाल इस का किस से पूछा चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali
our suggestion based on Altaf Hussain Hali
As you were reading Andaaz Shayari Shayari