haq wafa ke jo ham jataane lage
aap kuchh kah ke muskuraane lage
tha yahan dil mein taan-e-wasl-e-adu
uzr un ki zabaan pe aane lage
ham ko jeena padega furqat mein
vo agar himmat aazmaane lage
dar hai meri zabaan na khul jaaye
ab vo baatein bahut banaane lage
jaan bachti nazar nahin aati
gair ulfat bahut jataane lage
tum ko karna padega uzr-e-jafa
ham agar dard-e-dil sunaane lage
sakht mushkil hai sheva-e-tasleem
ham bhi aakhir ko jee churaane lage
jee mein hai luun raza-e-peer-e-mughaan
qafile phir haram ko jaane lage
sirr-e-baatin ko faash kar ya rab
ahl-e-zaahir bahut sataane lage
waqt-e-rukhsat tha sakht haali par
ham bhi baithe the jab vo jaane lage
हक़ वफ़ा के जो हम जताने लगे
आप कुछ कह के मुस्कुराने लगे
था यहाँ दिल में तान-ए-वस्ल-ए-अदू
उज़्र उन की ज़बाँ पे आने लगे
हम को जीना पड़ेगा फ़ुर्क़त में
वो अगर हिम्मत आज़माने लगे
डर है मेरी ज़बाँ न खुल जाए
अब वो बातें बहुत बनाने लगे
जान बचती नज़र नहीं आती
ग़ैर उल्फ़त बहुत जताने लगे
तुम को करना पड़ेगा उज़्र-ए-जफ़ा
हम अगर दर्द-ए-दिल सुनाने लगे
सख़्त मुश्किल है शेवा-ए-तस्लीम
हम भी आख़िर को जी चुराने लगे
जी में है लूँ रज़ा-ए-पीर-ए-मुग़ाँ
क़ाफ़िले फिर हरम को जाने लगे
सिर्र-ए-बातिन को फ़ाश कर या रब
अहल-ए-ज़ाहिर बहुत सताने लगे
वक़्त-ए-रुख़्सत था सख़्त 'हाली' पर
हम भी बैठे थे जब वो जाने लगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali
our suggestion based on Altaf Hussain Hali
As you were reading Dar Shayari Shayari