us ke jaate hi ye kya ho gai ghar ki soorat | उस के जाते ही ये क्या हो गई घर की सूरत

  - Altaf Hussain Hali

us ke jaate hi ye kya ho gai ghar ki soorat
na vo deewaar ki soorat hai na dar ki soorat

kis se paimaan-e-wafa baandh rahi hai bulbul
kal na pehchaan sakegi gul-e-tar ki soorat

hai gham-e-roz-e-judaaai na nashaat-e-shab-e-wasl
ho gai aur hi kuchh shaam-o-sehar ki soorat

apni jebon se rahein saare namaazi hushyaar
ik buzurg aate hain masjid mein khizr ki soorat

dekhiye shaikh musavvir se kiche ya na kiche
soorat aur aap se be-aib bashar ki soorat

waiz-o aatish-e-dozakh se jahaan ko tum ne
ye daraaya hai ki khud ban gaye dar ki soorat

kya khabar zahid-e-qane ko ki kya cheez hai hirs
us ne dekhi hi nahin keesa-e-zar ki soorat

main bacha teer-e-hawadis se nishaana ban kar
aadhe aayi meri tasleem-e-sipar ki soorat

shauq mein us ke maza dard mein us ke lazzat
naaseho us se nahin koi mafar ki soorat

hamla apne pe bhi ik baad-e-hazeemat hai zaroor
rah gai hai yahi ik fath o zafar ki soorat

rahnumaaon ke hue jaate hain ausaan khata
raah mein kuchh nazar aati hai khatra ki soorat

yun to aaya hai tabaahi mein ye beda sau baar
par daraati hai bahut aaj bhanwar ki soorat

un ko haali bhi bulaate hain ghar apne mehmaan
dekhna aap ki aur aap ke ghar ki soorat

उस के जाते ही ये क्या हो गई घर की सूरत
न वो दीवार की सूरत है न दर की सूरत

किस से पैमान-ए-वफ़ा बाँध रही है बुलबुल
कल न पहचान सकेगी गुल-ए-तर की सूरत

है ग़म-ए-रोज़-ए-जुदाई न नशात-ए-शब-ए-वस्ल
हो गई और ही कुछ शाम-ओ-सहर की सूरत

अपनी जेबों से रहें सारे नमाज़ी हुश्यार
इक बुज़ुर्ग आते हैं मस्जिद में ख़िज़र की सूरत

देखिए शैख़ मुसव्विर से खिचे या न खिचे
सूरत और आप से बे-ऐब बशर की सूरत

वाइ'ज़ो आतिश-ए-दोज़ख़ से जहाँ को तुम ने
ये डराया है कि ख़ुद बन गए डर की सूरत

क्या ख़बर ज़ाहिद-ए-क़ाने को कि क्या चीज़ है हिर्स
उस ने देखी ही नहीं कीसा-ए-ज़र की सूरत

मैं बचा तीर-ए-हवादिस से निशाना बन कर
आड़े आई मिरी तस्लीम-ए-सिपर की सूरत

शौक़ में उस के मज़ा दर्द में उस के लज़्ज़त
नासेहो उस से नहीं कोई मफ़र की सूरत

हमला अपने पे भी इक बाद-ए-हज़ीमत है ज़रूर
रह गई है यही इक फ़त्ह ओ ज़फ़र की सूरत

रहनुमाओं के हुए जाते हैं औसान ख़ता
राह में कुछ नज़र आती है ख़तर की सूरत

यूँ तो आया है तबाही में ये बेड़ा सौ बार
पर डराती है बहुत आज भँवर की सूरत

उन को 'हाली' भी बुलाते हैं घर अपने मेहमाँ
देखना आप की और आप के घर की सूरत

  - Altaf Hussain Hali

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Hussain Hali

As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Hussain Hali

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari