go jawaani mein thi kaj-raai bahut | गो जवानी में थी कज-राई बहुत

  - Altaf Hussain Hali

go jawaani mein thi kaj-raai bahut
par jawaani ham ko yaad aayi bahut

zer-e-burqa tu ne kya dikhla diya
jam'a hain har soo tamaashaai bahut

hat pe is ki aur pis jaate hain dil
raas hai kuchh us ko khud-raai bahut

sarv ya gul aankh mein jachte nahin
dil pe hai naqsh us ki raanaai bahut

choor tha zakhamon mein aur kehta tha dil
raahat is takleef mein paai bahut

aa rahi hai chaah-e-yusuf se sada
dost yaa thode hain aur bhaai bahut

vasl ke ho ho ke saamaan rah gaye
meh na barsa aur ghatta chhaai bahut

jaan-nisaari par vo bol utthe meri
hain fidaai kam tamaashaai bahut

ham ne har adnaa ko aala kar diya
khaaksaari apni kaam aayi bahut

kar diya chup waqiaat-e-dehr ne
thi kabhi ham mein bhi goyaai bahut

ghat gaeein khud talkhiyaan ayyaam ki
ya gai kuchh badh shakebaai bahut

ham na kahte the ki haali chup raho
raast-goi mein hai ruswaai bahut

गो जवानी में थी कज-राई बहुत
पर जवानी हम को याद आई बहुत

ज़ेर-ए-बुर्क़ा तू ने क्या दिखला दिया
जम्अ हैं हर सू तमाशाई बहुत

हट पे इस की और पिस जाते हैं दिल
रास है कुछ उस को ख़ुद-राई बहुत

सर्व या गुल आँख में जचते नहीं
दिल पे है नक़्श उस की रानाई बहुत

चूर था ज़ख़्मों में और कहता था दिल
राहत इस तकलीफ़ में पाई बहुत

आ रही है चाह-ए-यूसुफ़ से सदा
दोस्त याँ थोड़े हैं और भाई बहुत

वस्ल के हो हो के सामाँ रह गए
मेंह न बरसा और घटा छाई बहुत

जाँ-निसारी पर वो बोल उट्ठे मिरी
हैं फ़िदाई कम तमाशाई बहुत

हम ने हर अदना को आला कर दिया
ख़ाकसारी अपनी काम आई बहुत

कर दिया चुप वाक़िआत-ए-दहर ने
थी कभी हम में भी गोयाई बहुत

घट गईं ख़ुद तल्ख़ियाँ अय्याम की
या गई कुछ बढ़ शकेबाई बहुत

हम न कहते थे कि 'हाली' चुप रहो
रास्त-गोई में है रुस्वाई बहुत

  - Altaf Hussain Hali

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Hussain Hali

As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Hussain Hali

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari