kah do koi saaqi se ki ham marte hain pyaase
gar may nahin de zahar hi ka jaam bala se
jo kuchh hai so hai us ke taghaaful ki shikaayat
qaasid se hai takraar na jhagda hai saba se
dallaala ne ummeed dilaai to hai lekin
dete nahin kuchh dil ko tasalli ye dilaase
hai vasl to taqdeer ke haath ai shah-e-khoobaa'n
yaa hain to faqat teri mohabbat ke hain pyaase
pyaase tire sar-gashta hain jo raah-e-talab mein
honton ko vo karte nahin tar aab-e-baqa se
dar guzre dava se to bharose pe dua ke
dar guzre dua se bhi dua hai ye khuda se
ik dard ho bas aath pahar dil mein ki jis ko
takhfeef dava se ho na taskin dua se
haali dil-e-insaan mein hai gum daulat-e-kaunain
sharminda hon kyun gair ke ehsaan-o-ata se
jab waqt pade deejie dastak dar-e-dil par
jhukiye fukraa se na jhamkiye umraa se
कह दो कोई साक़ी से कि हम मरते हैं प्यासे
गर मय नहीं दे ज़हर ही का जाम बला से
जो कुछ है सो है उस के तग़ाफ़ुल की शिकायत
क़ासिद से है तकरार न झगड़ा है सबा से
दल्लाला ने उम्मीद दिलाई तो है लेकिन
देते नहीं कुछ दिल को तसल्ली ये दिलासे
है वस्ल तो तक़दीर के हाथ ऐ शह-ए-ख़ूबाँ
याँ हैं तो फ़क़त तेरी मोहब्बत के हैं प्यासे
प्यासे तिरे सर-गश्ता हैं जो राह-ए-तलब में
होंटों को वो करते नहीं तर आब-ए-बक़ा से
दर गुज़रे दवा से तो भरोसे पे दुआ के
दर गुज़रें दुआ से भी दुआ है ये ख़ुदा से
इक दर्द हो बस आठ पहर दिल में कि जिस को
तख़फ़ीफ़ दवा से हो न तस्कीन दुआ से
'हाली' दिल-ए-इंसाँ में है गुम दौलत-ए-कौनैन
शर्मिंदा हों क्यूँ ग़ैर के एहसान-ओ-अता से
जब वक़्त पड़े दीजिए दस्तक दर-ए-दिल पर
झुकिए फ़ुक़रा से न झमकिये उमरा से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali
our suggestion based on Altaf Hussain Hali
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari