hai ye takiya tiri ataon par | है ये तकिया तिरी अताओं पर - Altaf Hussain Hali

hai ye takiya tiri ataon par
wahi israar hai khataaon par

rahein na-aashnaa zamaane se
haq hai tera ye aashnaon par

raharvo ba-khabar raho ki gumaan
rahzani ka hai rahnumaaon par

hai vo der aashna to aib hai kya
marte hain hum inheen adaaon par

us ke kooche mein hain vo be-par o baal
udte firte hain jo hawaon par

shahsawaron pe band hai jo raah
waqf hai yaa barhana paanv par

nahin muna'im ko us ki boond naseeb
meh barsta hai jo gadaaon par

nahin mahdood bakhshein teri
zaahidon par na paarsaaon par

haq se darkhwaast afw ki haali
kijeye kis munh se in khataaon par

है ये तकिया तिरी अताओं पर
वही इसरार है ख़ताओं पर

रहें ना-आश्ना ज़माने से
हक़ है तेरा ये आश्नाओं पर

रहरवो बा-ख़बर रहो कि गुमाँ
रहज़नी का है रहनुमाओं पर

है वो देर आश्ना तो ऐब है क्या
मरते हैं हम इन्हीं अदाओं पर

उस के कूचे में हैं वो बे-पर ओ बाल
उड़ते फिरते हैं जो हवाओं पर

शहसवारों पे बंद है जो राह
वक़्फ़ है याँ बरहना पाँव पर

नहीं मुनइ'म को उस की बूँद नसीब
मेंह बरसता है जो गदाओं पर

नहीं महदूद बख़्शिशें तेरी
ज़ाहिदों पर न पारसाओं पर

हक़ से दरख़्वास्त अफ़्व की 'हाली'
कीजे किस मुँह से इन ख़ताओं पर

- Altaf Hussain Hali
0 Likes

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Hussain Hali

As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Hussain Hali

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari