hai justuju ki khoob se hai khoob-tar kahaan | है जुस्तुजू कि ख़ूब से है ख़ूब-तर कहाँ

  - Altaf Hussain Hali

hai justuju ki khoob se hai khoob-tar kahaan
ab thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahaan

hain daur-e-jaam-e-awwal-e-shab mein khudi se door
hoti hai aaj dekhiye ham ko sehar kahaan

ya rab is ikhtilaat ka anjaam ho b-khair
tha us ko ham se rabt magar is qadar kahaan

ik umr chahiye ki gawara ho neesh-e-ishq
rakhi hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahaan

bas ho chuka bayaan kasl-o-ranj-e-raah ka
khat ka mere jawaab hai ai nama-bar kahaan

kaun o makaan se hai dil-e-wahshi kanaara-geer
is khaanumaan-kharaab ne dhoonda hai ghar kahaan

ham jis pe mar rahe hain vo hai baat hi kuchh aur
aalam mein tujh se laakh sahi tu magar kahaan

hoti nahin qubool dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zabaan mein asar kahaan

haali nashaat-e-naghma-o-may dhundhte ho ab
aaye ho waqt-e-subh rahe raat bhar kahaan

है जुस्तुजू कि ख़ूब से है ख़ूब-तर कहाँ
अब ठहरती है देखिए जा कर नज़र कहाँ

हैं दौर-ए-जाम-ए-अव्वल-ए-शब में ख़ुदी से दूर
होती है आज देखिए हम को सहर कहाँ

या रब इस इख़्तिलात का अंजाम हो ब-ख़ैर
था उस को हम से रब्त मगर इस क़दर कहाँ

इक उम्र चाहिए कि गवारा हो नीश-ए-इश्क़
रक्खी है आज लज़्ज़त-ए-ज़ख़्म-ए-जिगर कहाँ

बस हो चुका बयाँ कसल-ओ-रंज-ए-राह का
ख़त का मिरे जवाब है ऐ नामा-बर कहाँ

कौन ओ मकाँ से है दिल-ए-वहशी कनारा-गीर
इस ख़ानुमाँ-ख़राब ने ढूँडा है घर कहाँ

हम जिस पे मर रहे हैं वो है बात ही कुछ और
आलम में तुझ से लाख सही तू मगर कहाँ

होती नहीं क़ुबूल दुआ तर्क-ए-इश्क़ की
दिल चाहता न हो तो ज़बाँ में असर कहाँ

'हाली' नशात-ए-नग़्मा-ओ-मय ढूँढते हो अब
आए हो वक़्त-ए-सुब्ह रहे रात भर कहाँ

  - Altaf Hussain Hali

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Hussain Hali

As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Hussain Hali

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari