dhoom thi apni paarsaai ki | धूम थी अपनी पारसाई की

  - Altaf Hussain Hali

dhoom thi apni paarsaai ki
ki bhi aur kis se aashnaai ki

kyun badhaate ho ikhtilaat bahut
ham ko taqat nahin judaai ki

munh kahaan tak chupaoge ham se
tum ko aadat hai khud-numaai ki

laag mein hain lagao ki baatein
sulh mein chhed hai ladai ki

milte ghairoon se ho milo lekin
ham se baatein karo safaai ki

dil raha paa-e-band-e-ulfat-e-daam
thi abas aarzoo rihaai ki

dil bhi pahluu mein ho to yaa kis se
rakhiye ummeed dilrubaaai ki

shehar o dariya se baagh o sehra se
boo nahin aati aashnaai ki

na mila koi ghaarat-e-eimaan
rah gai sharm paarsaai ki

bakht-e-ham-daastaani-e-shaida
tu ne aakhir ko na-rasaai ki

sohbat-e-gaah-gaahi-e-rashki
tu ne bhi ham se bewafaai ki

maut ki tarah jis se darte the
sa'at aa pahunchee us judaai ki

zinda firne ki hai havas haali
intiha hai ye be-hayaai ki

धूम थी अपनी पारसाई की
की भी और किस से आश्नाई की

क्यूँ बढ़ाते हो इख़्तिलात बहुत
हम को ताक़त नहीं जुदाई की

मुँह कहाँ तक छुपाओगे हम से
तुम को आदत है ख़ुद-नुमाई की

लाग में हैं लगाओ की बातें
सुल्ह में छेड़ है लड़ाई की

मिलते ग़ैरों से हो मिलो लेकिन
हम से बातें करो सफ़ाई की

दिल रहा पा-ए-बंद-ए-उल्फ़त-ए-दाम
थी अबस आरज़ू रिहाई की

दिल भी पहलू में हो तो याँ किस से
रखिए उम्मीद दिलरुबाई की

शहर ओ दरिया से बाग़ ओ सहरा से
बू नहीं आती आश्नाई की

न मिला कोई ग़ारत-ए-ईमाँ
रह गई शर्म पारसाई की

बख़्त-ए-हम-दास्तानी-ए-शैदा
तू ने आख़िर को ना-रसाई की

सोहबत-ए-गाह-गाही-ए-रश्की
तू ने भी हम से बेवफ़ाई की

मौत की तरह जिस से डरते थे
साअ'त आ पहुँची उस जुदाई की

ज़िंदा फिरने की है हवस 'हाली'
इंतिहा है ये बे-हयाई की

  - Altaf Hussain Hali

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Hussain Hali

As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Hussain Hali

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari